Sahir Ludhianvi

Ranjish.com has lots of Urdu Sahir Ludhianvi Poetry. Feel free to add your own Sahir Ludhianvi Shayari here.

Sahir Ludhianvi Collection

Sahir Ludhianvi
1921-1980

Sahir Ludhianvi is well known poet from India. Here we have random collection of his poetries from his several poetry books.



Sazaa ka haal sunaayen jazaa ki baat karen..

Sahir Ludhianvi

Sazaa ka haal sunaayen jazaa ki baat karen,
Khudaa mila ho jinhe woh khudaa ki baat karen,

Unhen pata bhi chale aur woh khafaa bhi na hon,
Iss ehtiyaat se kya mudaa.aa ki baat karen,

Hamare ehd ki tehzeeb mei qabaa hi nahin,
Agar qabaa ho to band-e-qabaa ki baat karen,

Har ek daur ka mazhab neyaa khuda laaya,
Karen to hum bhi magar kis khuda ki baat karen,

Wafaa-shuaar keyi hain koi haseen bhi to ho,
Chalo phir aaj ussi bewafaa ki baat karen..



Tang aa chuke hain kashmakash-e-zindagi se hum..

Sahir Ludhianvi

Tang aa chuke hain kashmakash-e-zindagi se hum,
Thukraa na dain jahaan ko kahin be-dili se hum,

Mayuusi-e-maal-e-mohabbat na puuchiye,
Apnon se paish aaye hain begaaangi se hum,

Lo aaj hum ne torr diya rishta-e-umeed,
Lo ab kabhi gila na karenge kisi se hum,

Ubhren ge ek baar abhi dil ke valvale,
Go dabb gaye hain baar-e-gham-e-zindagi se hum,

Gar zindagi mein mil gaye phir ittifaaq se,
Puuchen ge apnaa haal teri bebassi se hum,

Allah re faraib-e-mashiyat ki aaj tak,
Duniyaa ke zulm sehte rahe khamoshi se hum..



Teri duniya mei jeene se to behtar hai ke mar jaayen..

Sahir Ludhianvi

Teri duniya mei jeene se to behtar hai ke mar jaayen,
Wohi aansuu wohi aahen wohi gham hai jidhar jaayen,

Koi to aisa ghar hota jahan se pyaar mil jaata,
Wohi begaane chehre hain jahaan jaayen jidhar jaayen,

Arey o aasmaan waale bataa is mei buraa kya hai,
Khushi ke chaar jhonke gr idhar se bhi guzar jaayen..

Watch Video



Yeh zulf agar khul ke bikhar jaye to acha..

Sahir Ludhianvi

Yeh zulf agar khul ke bikhar jaye to acha,
Iss raat ki taqdeer sanwar jaye to acha,

Jis tarah se thori si tere saath katti hai,
Baaqi bhi issi tarah guzar jaaye to acha,

Duniya ki nigaahon mein bhalaa kya hai bura kya,
Yeh bojh agar dil se utar jaaye to acha,

Waise to tumhiin ne mujhe barbaad kiyaa hai,
Ilzaam kisi aur ke sar jaaye to acha..



Barbaad-e-mohabbat ki duaa sath liye ja..

Sahir Ludhianvi

barbaad e mohabbat ki dua saath liye ja

Barbaad-e-mohabbat ki duaa sath liye ja,
Tuuta hua iqraar-e-wafaa saath liye ja,

Ik dil tha jo pehle hi tujhe somp diya tha,
Yeh jaan bhi ae jaan-e-adaa saath liye ja,

Taptii hui rahon se tujhe aanch na pohanche,
Diwanon ke ashkon ki ghataaa saath liye ja,

Shaamil hai mera khuun-e-jigr teri hinaa mei,
Yeh kum ho to khuun-e-wafaa saath liye ja,

Hum jurm-e-mohabbat ki saza paayen ge tanhaa,
Jo tujh se hui ho woh khataa saath liye ja..

Watch Video



Ab aayen ya na ayen idhar puuchte chalo..

Sahir Ludhianvi

Ab aayen ya na ayen idhar puuchte chalo,
Kyaa chahti hai un ki nazar puuchte chalo,

Ham se agar hai tark-e-talluq to kya hua,
Yaaro koi to un ki khabar puuchte chalo,

Jo khud ko keh rahe hain ke manzil-shanaas hain,
Un ko bhi kya khabar hai magar puuchte chalo,

Kis manzil-e-muraad ki janib ravaan hain hum,
Ae raah-e-ravaan e khaak-bassar puuchte chalo..

Watch Video



Chehre pe khushi chhaa jaati hai ankhon me suruur aa jata hai..

Sahir Ludhianvi

Chehre pe khushi chhaa jaati hai ankhon me suruur aa jata hai,
Jab tum mujhe apna kehte ho apne pe ghuruur aa jata hai,

Tum hussn ki khud ik duniyaa ho shayed ye tumhe maluum nahin,
Mehfil mei tumhaare aaney se har cheez pe nuur aa jata hai,

Hum paas se tum ko kya dekhen tum jab bhi muqaabil hote ho,
Betaab nigahon ke aagay pardaa sa zaruur aa jata hai,

Jab tum se mohabbat ki hum ne tab jaa ke kahin yeh raaz khula,
Marne ka saleeqa aatey hi jeenay ka shauur aa jata hai..

Watch Video



Kabhii kabhi mere dil main khayaal ata hai..

Sahir Ludhianvi

Kabhi kabhi mere dil main khayaal ata hai,
Ke zindagi teri zulf ki narm chaaon main,
Guzarne paati
To shadaab ho bhi sakti thi,
Yeh teergi jo meri zeest ka muqaddar hai,
Teri nazar ki shoaaon main kho bhi sakti thi,

Ajab na tha ke main begaana-e-alam ho kar,
Tere jamaal ki raanaaiyon main khho rehta,
Tera gudaaz-badan teri niim-baaz ankhen,
Inhii haseen fasaanon me mehvv ho rehta,
Pukaartin mujhe jab talkhiyaan zamaane ki,
Tere badan se halaavat ke ghoont pii leta,

Hayaat cheekhti phirti barhna sar aur main,
Ghaneri zulfon ke saaye me chhup ke ji leta,

Magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai.
Ke tu nahin tera gham teri justujuu bhi nahin,
Guzar rahii hai kuchh is tarah zindagi,
Usse kissi ke sahaare kii arzuu bhi nahin,

Zamane bhar ke dukhon ko laga chuka hoon gale,
Guzar raha hoon kuch anjaani rahguzaaron se,
Muhiib saaye meri samnt barrhte atey hain,
Hayaat o maut ke pur-hol khaazaaron se,
Na koii jaada-e-manzil na roshni ka suragh,

Bhattak rahi hai khalaaon me zindagi meri,
Inhii khalaaon me reh jaaon ga kabhi kho kar,
Main janta hoon meri hum-nafass magar yuunhi,
Kabhii kabhi mere dil main khayaal ata hai..



Bharrkaa rahe hain aag lab-e-naghmagar se hum..

Sahir Ludhianvi

Bharrkaa rahe hain aag lab-e-naghmagar se hum,
Khamosh kya rahen ge zamaane ke ddar se hum,

Kuch aur barrh gaye jo andhere to kya hua,
Maayuus to nahin hain tuluu-e-sehar se hum,

Le de ke apne paas faqat ik nazar to hai,
Kyun dekhen zindagi ko kisi ki nazar se hum,

Maaana ke is zameen ko na gulzaar kr sake,
Kuch khaar kum to kar gaye guzre jidar se hum..



Iss taraf se guzre they qaafile bahaaron ke..

Sahir Ludhianvi

Iss taraf se guzre they qaafile bahaaron ke,
Aaj tak sulagte hain zakhm raahguzaaron ke,

Khalvaton ke shaidaayi khalvaton mei khulte hain,
Hum se puuch kr dekho raaz parda-daaron ke,

Gesu.on ki chaaon mei dil-nawaz chehre hain,
Ya haseen dhundlakon mei phuul hain baharon ke,

Pehle hanss ke milte hain phir nazar churaate hain,
Aashnaa-sift hain log ajnabi dayaaron ke,

Tum ne sirf chaaha hai hum ne chhu ke dekhe hain,
Pairahan ghataaon ke jism barq-paaron ke,

Shughl -e- mai-parasti go jashn-e- na-muraadi tha,
Yuun bhi katt gaye kuch din tere sogvaaron ke..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Sahir Ludhianvi.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari