Noshi Gilani
Ranjish.com has lots of Urdu Noshi Gilani Poetry. Feel free to add your own Noshi Gilani Shayari here.Noshi Gilani Collection
![]() |
Noshi Gilani |
Noshi Gilani is a famous female poet belonging from Pakistan. She was born in Bahawalpur city. She has written few poetry books which include Mohabatain Jab Sumar Kurna, Udas Honay Kay Din Naheen, Pehla Lafz Mohabat Likha, Hum Tera Intezaar Kurtey Rahey and Hawa Chupke se Kehti Hai. Keep visiting us for more Noshi Gilani Poetry.
Har Zarra-e-Umeed Se Khushbuu Nikal Aaye
Noshi Gilani
Har Zarra-e-Umeed Se Khushbuu Nikal Aaye
Tanhaayi Ke Sehra Mein Agar TU Nikal Aaye
Kaisa Lagay Is Baar Agar Mausam-e-Gul Mein
Titli Ka Badan Oorh Kar Jugnuu Nikal Aaye
Phir Din Teri Yaadon Ki Mundairon Pe Guzra
Phir Shaam Howi Aankh Se Aansoo Nikal Aaye
Be-Chain Kye Rehta Hai Dharka Yehi Ji Ko
Tujh Mein Na Zamanay Ki Koi Khu Nikal Aaye
Phir Dil Ne Kya Tark-e-Talluq Ka Iraada
Phir Tujh Se Mulaqaat Ke Pehluu Nikal Aaye
Mohabbat Ki Aseeri Se Rihaayi Maangtay Rehna
Noshi Gilani
Mohabbat Ki Aseeri Se Rihaayi Maangtay Rehna
Bohat Aasaan Nahi Hota Judaai Maangtay Rehna
Zara Sa Ishq Karlaina, Zara Si Aankh Bhar Laina
Iwaz Iske Magar Saari Khudaai Maangtay Rehna
Kubhi Mehroom Honton Per Dua Ka Harf Rakh Dena
Kubhi Wehshat Mein Oski Naarsaayi Maangtay Rehna
Wafaaon Ke Tasalsul Se Mohabbat Rooth Jaati Hai
Dil Ki Sakoot-e-Shaam-e-Gham Se Humnawaayi Maangtay Rehna
Kubhi Bachay Ke Nannay Haath Per Titli Ke Par Rakhna
Kubhi Phir Oske Rangon Se Rihaayi Maangtay Rehna
Yehi Nahi Ke Toofan Meri Talaash Mein Hai
Noshi Gilani
Yehi Nahi Ke Toofan Meri Talaash Mein Hai
Ke Mausam-e-Gham-e-Jaanan Meri Talaash Mein Hai
Visaal Rut Hai Magar Dil Ko Aisa Lagta Hai
Sitaarah-e-Shab-e-Hijraan Meri Talaash Mein Hai
Mein Faislay Ki Ghari Se Guzar Chali Hun
Kisi Ki Deeda-e-Hairaan Meri Talaash Mein Hai
Ye Be-Yaqeen Si Aasoodgi Batati Hai
Ke Ik Qirya-e-Veeran Meri Talaash Mein Hai
Mein Teergi Mein Mohabbat Ki Ik Kahani Hun
Koi Charaagh Sa Unwaan Meri Talaash Mein Hai
Ye Kaisa Khwaab Tha Dharka Sa Lag Gaya Dil Ko
Ke Ik Shaks Pareshaan Meri Talaash Mein Hai
Yeh kesa khauf tha rakht-e-safar bhi bhool gaye
Noshi Gilani
Yeh kesa khauf tha rakht-e-safar bhi bhool gaye
Vo kaun log thay jo apnay ghar bhi bhool gaye ?
Yeh kesi quvvat-e-parvaaz darr ne paida ki
Parinday urrtay huay apnay parr bhi bhool gaye
Dukhon ne cheen lee aankhon ki saari beenaayee
Hum us ka sheher to kiya, rahguzar bhi bhool gaye
Khayaal tha ke sunaayen ge haal-e-dil lekin
Hum us ke saamnay Arz-e-hunar bhi bhool gaye
Juda huay to khula hai tumhaari basti mein
Hum aik dil he nahin, chashm-e-tarr bhi bhool gaye
Hijr Ki Shab Mein Qaid Karay Ya Subha Visaal Mein Rakhay
Noshi Gilani
Hijr Ki Shab Mein Qaid Karay Ya Subha Visaal Mein Rakhay
Acha Mola ! Teri Marzi Tu Jis Haal Mein Rakhay
Khail Ye Kaisa Khail Rahee Hai Dil Se Teri Mohabbat
Ik Pal Sarshaari De aur DinoN Malaal Mein Rakhay
Mein Ne Saari Khushbooain aanchal Se Baandh Ke Rakheen
Shaayad In Ka Zikr TU apnay Ksi Sawaal Mein Rakhay
Ksi Se Tere aanay Ki Sargoshi Ko Suntay Hee
Mein Ne Kitnay Phool Chunay aur apni Shaal Mein Rakhay
Mushkil Bun Kar Toot Padi Hai Dil Per Ye Tanhai
aB Jaanay Ye Kub Tak Isko apnay Jaal Mein Rakhay
Rukta Bhi Nahi Theek Se Chalta Bhi Nahi Hai
Noshi Gilani
Hisaar-e-Lafz-o-Bayaan Mein Gum Hun
Noshi Gilani
Hisaar-e-Lafz-o-Bayaan Mein Gum Hun
Abhi Teri Daastan Mein Gum Hun
Mein Dekh Sakti Hun Doston Ko
Magar Saf-e-Dushmanaan Mein Gum Hun
Badan Ka aPna azaab Hai aur
Isi Azaab-e-Ziaan Mein Gum Hun
Ye Loog Ghar Keh Rahay Hain Jisko
Mein aisay Makaan Mein Gum Hun
Kahan Wo Lazzat Musaafaton Ki ?
Mein Manzilon Ke Nishaan mein Gum Hun
Khabar Nahi Mauj-e-Dast-e-Jaan Ki
Hawaa Hun aur Baadbaan Mein Gum Hun
Abhi Kahan Fursat-e-Mohabbat ?
Abhi Mein Kaar-e-Jahaan Mein Gum Hun
(Hisaar:Surrounded)(Dushmanaan:Enemies)(Badan:Body)(Lazzat:Taste)
Ye Dil Bhulaata Nahe Hai Mohabbatain Oski
Noshi Gilani
Ye Dil Bhulaata Nahe Hai Mohabbatain Uski
Padi Howi Theen Mujhe Kitni Aadatain Uski
Ye Mera Saara Safar Oski Khushbuu Mein Kata
Mujhe Tou Raah Dikhaati Theen Chaahatain Uski
Ghiri Howi Hun Mein Chehron Ki Bheer Mein Laikin
Kaheen Nazar Nahee Aati Shabaahatain Uski
Mein Dard Se Ronay Lagi Hun Tou Aisa Lagta Hai
Ke Chhaon Jaisi Theen Mujh Par Rafaqatain Uski
Ye Kis Gali Mein Ye Kis Sheher Mein Nikal Aaye
Kahan Pe Reh Gayein Loogon Sadaaqatain Uski?
Mein Baarishon Mein Juda Ho Gayi Hun Os Se Magar
Ye Mera Dil, Meri Saansain Amaanatain Uski
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Noshi Gilani.