Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



tere khawbon main mohabbat ki duhaayi doon ga

Ghazal Shayari

tere khawbon main mohabbat ki duhaayi doon ga
jab koi aur na ho ga to dikhayi doon ga

meri duniya main faqat aik khuda kaafi hai
dosto kitne khudaon ko khudayi doon ga

koi insan nazar aye to bulao us ko
use is daur main jeene pe badhaayi doon ga

dekh loon apne girebaaan hi main mu daal ke main
apne halaat pe kis kis ki buraayi doon ga

tum agar choRr gaye mujh ko to yun taRrpoon ga
sari duniya ko gham o dard judayi doon ga

teri hi rooh ka naghma hoon agar miTt bhi gaya
main tujhe dusri duniya se sunayi doon ga



paiRr jo ba-samar nahin hota

Ghazal Shayari

paiRr jo ba-samar nahin hota
woh kabhi moatbar nahin hota

dil se jab tak nahin nikalti hai
baat main kuch asar nahin hota

mujh ko manzil kabhi nahin milti
tu agar humsafar nahin hota

aik dar se jo lau lagata hai
woh kabhi darbadar nahin hota

zakham sab ko bhala dikhayen kyun
har koi charagar nahin hota

main kiran bas khuda se Ddarti hoon
mujh ko logon ka Ddar nahin hota



raat bhar intezar karti rahi

Ghazal Shayari

raat bhar intezar karti rahi
main sitare shumaar karti rahi

yaad ati rahi, teri har pal
aur mujhe beqaraar karti rahi

main woh laRrki hoon jo mohabbat par
sare jazbe nisaar karti rahi

us ne dhoke diye mujhe har baar
aur main aitbaar karti rahi

dil ke behlane ko khizaan rut main
zikr -e- fasl -e- bahaar karti rahi

jis ko ana tha woh aa chuka kiran
khud ko main yunhi khuwaar karti rahi



har ik baat pe kehne lagte ho pyare baRra masla hai

Ghazal Shayari

har ik baat pe kehne lagte ho pyare baRra masla hai
suno manzil-en khubsurat hain bas rasta masla hai

kaha jab mera masla hai ke ap ache lagne lage hain
woh kehne lage ap ka masla ap ka masla hai

mohabbat mukamal na hona baRra masla hai yaqeenan
ghazal ka mukamal na hona bhi apni jagah masla hai

main har roz laRr kar nikalta hoon wapis na aney ki khatir
magar us ka khiRrki se rote huye dekhna masla hai

sabhi masle hal talab hain magar bhook pehle hai ahsan
mohabbat to insan ka apna banaya hua masla hai



ayat sunao sabr ki koi quran se

Ghazal Shayari

ayat sunao sabr ki koi quran se
warna ulajh paRroon ga main sare jahan se

woh bhi safar main thak ke kahin door reh gaya
aur main bhi cheekhne laga ik din thakaan se

woh shaam aj tak mere seene pe naqsh hai
ik shakhss phir gaya tha jab apni zaban se



hamari ik ankahi kahani udaas ankhon main reh gayi hai

Ghazal Shayari

hamari ik ankahi kahani udaas ankhon main reh gayi hai
bhari jawani ki raigaan-i udaas ankhon main reh gayi hai

bichaRr-ne wale ka aansu ab tak hamari ankhon se beh rahe hain
bichaRr-ne wale ki ik nishaani udaas ankhon main reh gayi hai

agar tumhe aj bhi koi gham mile to rona mujhe paRre ga
tumhari kashti ki baadbaani udaas ankhon main reh gayi hai

jo shahzade ke khawb bunti safar main mujh se bichaRr gayi thi
baRre mahalaat ki woh raani udaas ankhon main reh gayi hai



har dukh mujhe qabool magar yeh sitam na ho

Ghazal Shayari

har dukh mujhe qabool magar yeh sitam na ho
ya rab bichaRr-te waqt bhi woh aankh num na ho

yeh kya ke saari raat kaTe jagte huye
aur phir bas aik sher ho us main bhi dum na ho

yeh kya ke aik dar se bandhe hon tamaam umar
yeh kya ke aik baar bhi nazar -e- karam na ho

yah kya ke sab se daad ke talib ho shayaro
yaani ke woh bhi roye ke jise koi gham na ho

ae kash ke apni jang chiRre us badan ke sath
aur dono samt aman ka koi alam na ho

sansain ukhaRr ukhaRr kar chalen par chalen zaroor
hum main agar judai ho to kabhi aik dum na ho



agarche main ik chaTaan sa admi raha hoon

Ghazal Shayari

agarche main ik chaTaan sa admi raha hoon
magar tere baad hausla hai ke jee raha hoon

woh raiza raiza mere badan main utar raha hoon
main qatra qatra usi ki ankhon ko pee raha hoon

teri hatheli pe kis ne likha hai qatal mera
mujhe to lagta hai main tera dost bhi raha hoon

khuli hain ankhen magar badan hai tamaam pathar
koi bataye main mar chuka hoon ke jee raha hoon

kahan mile gi misaal meri sitamgari ki
ke main gulab-on ke zakham kanTon se see raha hoon

na puch mujh se ke sheher walon ka haal kya tha
ke main to khud apne ghar main bhi do ghaRi raha hoon

mila to beete dinon ka sach us ki ankhon main tha
woh ashnaa jis se muddaton ajnabi raha hoon

bhula de mujh ko ke bewafayi bajaa hai lekin
ganwaa na mujh ko ke main teri zindagi raha hoon

woh ajnabi ban ke bhi ab mile to kya hai mohsin
yeh naaz kam hai ke main bhi us ka kabhi raha hoon



abhi to zinda hain kehte ho yara kya hoga

Ghazal Shayari

abhi to zinda hain kehte ho yara kya hoga
hamare baad najane tumhara kya hoga

hamara khud pe guzara nahin hai muddat se
hamare sath kisi ka guzara kya hoga

yeh dekhne ke liye kyun na aik din mar jayen
hamare sath usi din dobara kya hoga

woh jis ke nisf ne pagal kiya hai duniya ko
main sochta hoon haqeeqat main sara kya hoga

hamare naqsh -e- qadam se qadam milao magar
hamara kuch na bana to tumhara kya hoga

zaban lipTi hui hai gale se murde ki
sawal yeh nahin kaise, pukara kya hoga

woh mil ke jaye to lagta nahin mila hai kabhi
agar kinara kare to kinara kya hoga

pehen liya hai usse ankh moond kar maine
wagarna sochta rehta utara kya hoga

na us ko milne main dilchaspi hai na mujh ko magar
hum intezar main hai istikhara kya hoga

jinhe pata tha sabhi kuch woh log bhi na rahe
humen pata hi nahin kuch hamara kya hoga



jo bhi izat ke Ddar se Ddar jaye

Ghazal Shayari

jo bhi izat ke Ddar se Ddar jaye
mat kare ishq apne ghar jaye

baat aa jaye jab dua-on par
is se behtar hai banda mar jaye

thoRri se aur dair samne reh
meri ankhon ka paiTt bhar jaye

al-muhayimin ke ghar bhi khatre hain
jaye bhi to koi kidhar jaye

haan aqeeda agar na qaid rakhe
phir to insan kuch bhi kar jaye

bebasi ki yeh akhri hadh hai
meri aulad aap par jaye

us ke chehre pe aaj udasi thi
haye afkar alvi mar jaye


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari