Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



silsila khatam hua jalne jalane wala

Ghazal Shayari

silsila khatam hua jalne jalane wala
ab koi khawb nahin neend uRrane wala

yeh woh sehraa hai sujhaye na agar tu rasta
khaak ho jaye yahan khaak uRrane wala

kya kare ankh jo pathrane ki khawhish na kare
khawb ho jaye agar khawb dikhane wala

yaad ata hai ke main khud se yahin bichRra tha
yahi rasta hai tere sheher ko jane wala

ae hawa us se yeh kehna ke salamat hai abhi
tere phoolon ko kitabon main chupane wala

zindagi apni andheron main basar karta hai
tere anchal ko sitaron se sajane wala

sabhi apne nazar ate hain bazahir lekin
roothne wala hai koi na manane wala

le gayin door bohat door hawa-en jis ko
wohi badal tha meri pyas bujhane wala



thehri thehri si tabiyat main rawani ayi

Ghazal Shayari

thehri thehri si tabiyat main rawani ayi
aj phir yaad mohabbat ki kahani ayi

aj phir neend ko ankhon se bichaRrte huye dekha
aj phir yaad koi choTt purani ayi

mudatton baad chala un pe hamara jadu
mudatton baad humen baat banani ayi

mudatton baad pasheman hua dariya se
mudatton baad humen pyas chupani ayi

mudatton baad khuli vusat -e- sehraa hum par
mudatton baad humen khaak uRrani ayi

mudatton baad muyassar hua maan ka anchal
mudatton baad humen neend suhani ayi

itni asani se milti nahin fun ki daulat
Dhal gayi umar to ghazlon pe jawani ayi



zard chehra hai mera zard bhi aesa wesa

Ghazal Shayari

zard chehra hai mera zard bhi aesa wesa
hijr ka dard hai aur dard bhi aesa wesa

aesi thanDdak ki jammi barf har ik khawhish par
sard lehja tha koi sard bhi aesa wesa

ab woh fursat -e- ahwaal muyassar hi nahin
woh jo hamdard tha hamdard bhi aesa wesa

yaani us dhool ke chooTtne pe bhi ilzam -e- junoon
koi tufan hai pas -e- gard bhi aesa wesa

puri basti main bas ik shakhss se nisbat mujh ko
mujh se munkir hai woh ik fard bhi aesa wesa

ishq ne rail ki paTtri pe liTtaya jis ko
tha jawan-mard , jawan-mard bhi aesa wesa

kya tujhe hijr ke azaar bataye komal
tu to bedard hai bedard bhi aesa wesa



main apne sath bitati hoon roz sham ka waqt

Ghazal Shayari

main apne sath bitati hoon roz sham ka waqt
ke waqt -e- assr hai khud se mere kalaam ka waqt

tamam din jahan chaho raho khuda ke liye
kisi ke naam na karna hamare naam ka waqt

allam baghawat-on ka kar liya buland magar
kaTte ga dekhna zindaan main ghulaam ka waqt

bas us ke baad to bachte hain sirf pachtawe
yahi hai dost raunat ki rok thaam ka waqt

khuda kare ke main kar doon maaf dil se usse
khuda na laye kabhi mujh pe intiqaam ka waqt

hamare rizq ka daromadar hum par hai
ke thora ishq ka rakha hai, baaqi kaam ka waqt



qissa -e- khoobi -e- kharab pe daad

Ghazal Shayari

qissa -e- khoobi -e- kharab pe daad
mumtahin, ishq ke nisaab pe daad

phir wohi ik sawal qurbat ka
phir tere jhoot ke jawab pe daad

is bure waqt main bhala sa laga
jagti chashm -e- namm ke khawb pe daad

ishq hai aur behisaab bhi hai ?
yaar, is lafz behisaab pe daad

aap ka intikhab komal hai ?
ap ke husn -e- intikhab pe daad



Yeh hijr lagne laga aarzi judai mujhe

Ghazal Shayari

yeh hijr lagne laga aarzi judai mujhe
kayi mahinon ke baad us ki call ayi mujhe

hazar zaiqe us rass bhari zaban main thay
jab us ne meri ghazal raat bhar sunayi mujhe

main cigretton ki tarah dair tak sulagta rahoon
jalaye tere labon ki dia-salayi mujhe

usse khabar hui beemar mar gaya hai tera
woh choRr chaRr ke sab dekhne ko ayi mujhe

shifaa naseeb se milte hai sau mile na mile
tumhare hath se milti rahe dawayi mujhe



apni deewar main bhi tujh se dareecha na bana

Ghazal Shayari

apni deewar main bhi tujh se dareecha na bana
is liye to mere dil tak tera rasta na bana

qad main choTte hain magar mujh se bari nafrat hai
paiRr ko kehte hain us ke liye saya na bana

itne to yaar tere hum bhi chalan jante hain
bagh yeh sabz dikha kar humen sehraa na bana

roz mujh se yeh adakari nahin ho sakti
is liye mera jahan bhar main tamasha na bana

zindagi kya hai batana tha kisi ko maine
likhne betha hoon to us par koi jumla na bana

kitni naslain yehi kehte huye mar jayen gi
agle logon se kabhi acha zamana na bana

aayina samne hote huye un se adis
koi chehra na bana koi shanasa na bana



maine socha hai raat bhar tum ko

Ghazal Shayari

maine socha hai raat bhar tum ko
kash ho jaye yeh khabar tum ko

zindagi main kabhi kisi ko bhi
maine chaha nahin magar tum ko

janti hoon ke tum nahin maujood
dhoondti hai magar nazar tum ko

tum bhi afsos rah-rau nikle
main to samjhi thi humsafar tum ko

mujh main ab main nahin rahi baaqi
maine chaha hai is qadar tum ko



aa jata hai khud pas bulana nahi paRrta

Ghazal Shayari

aa jata hai khud pas bulana nahi paRrta
milne ke liye hath hilana nahin paRrta

kuch aesi sahulat se makeen dil main hua woh
mujh ko bhi meri zaat se jana nahin paRrta

yeh khas riyayet hai ke ab des main apne
gham muft main milta hai kamana nahin paRrta

is sheher se us sheher talak seedhi saRrak hai
filhal to raste main zamana nahin paRrta

afsana -e- hasti bhi bohat khoob hai jis main
kirdar koi sa bhi nibhana nahin paRrta

ik karb -e- musalsal ke mera pehlu-nasheen hai
ik lutf -e- daruun jis ko gavana nahin paRrta

ab loha ugate hain darakhton ki jagah hum
koyal ko bhi ab shor machana nahin paRrta



Ae ranj-e-agahi koi chaara to hoga na

Ghazal Shayari

Ae ranj-e-agahi koi chaara to hoga na
chal khush na reh saken ge guzara to hoga na

yeh aarzuu bhi waqt ke dhaare main beh gayi
ab naa sahi kabhi woh hamara to hoga na

jati hai jo mataa -e- dil -o- jaan to kya malaal
yeh ishq ki dukan hai khasara to hoga na

har aan jis ka zikr hai us beniaz ne
bhoole se mera naam pukara to hoga na

main zaad -e- rah ke taur pe bas khawb layi hoon
ae humsafar tujhe yeh gavara to hoga na

kya ajnabi banen ge agar phir kabhi mile
kya baat bhi na hogi ishara to hoga na

karna karana choRr zabaani hi sath de
tinke ka ho agarche sahara to hoga na


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari