Shahbaz Nayyar

Ranjish.com has lots of Urdu Shahbaz Nayyar Poetry. Feel free to add your own Shahbaz Nayyar Shayari here.

Shahbaz Nayyar Collection

Shahbaz Nayyar is a young Urdu poet from Rahim Yar Khan. We will be uploading his poetry published in his book “Tumhare Ho Gaye Hain Hum”.



mera nahin to woh apna hi kuch khayal kare

Shahbaz Nayyar

mera nahin to woh apna hi kuch khayal kare
usay kaho ke taluq ko phir bahaal kare

nigah e yaar na ho to nikhr nain paata
koi jamal ki jitni bhi dekhbhaal kare

mile to itni reyayat ataa kare mujh ko
mere jawab ko sun kar koi sawal kare

kalaam kar ke mere lafz ko sahulat mile
tera sakuut meri guftugu muhaal kare

na guzre waqt ka puche na aane wale ka
koi sawal kare bhi to hasb e haal kare

bulandiyon pe kahan tak tujhe talash karoon
har aik saans pe umar e ravaan zawaal kare

main us ka phool hoon sau nayyar us pe choR diya
woh gesuyon main sajaye ke payemaal kare



Diya jalane ki zid na kar..

Shahbaz Nayyar

Tu hawa ke hathon pe chahton ka diya jalane ki zid na kar,
Yeh udaas logon ka sheher hai, yahan muskurane ki zid na kar,

Main hoon doston ka dassa hua, mera gham hai hadh se baRrha hua,
Main shikasta-ghar ki misaal hoon, mere paas aane ki zid na kar,

Main teri ghazal to nahin hoon na, jo har aik lab pe saja rahoon,
Main to aik misra-e-dard hoon, mujhe gungunane ki zid na kar,

Abhi laut aa, abhi waqt hai, abhi jaan baaqi hai jism main,
Tujhe ilm hai meri jaan hai tu, mujhe azmaane ki zid na kar..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Shahbaz Nayyar.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari