Sar main saudaa bhi nahin, dil main tamanna bhi nahin..

Sar main saudaa bhi ..

firaq gorakhpuri poetry

Sar main saudaa bhi nahin, dil main tamanna bhi nahin,
Lekin is tarkk-e-mohabbat ka bharossa bhi nahin,

Dil ki ginti na yagaanon main na begaanon main,
Lekin us jalvaa-gah-e-naz se uthta bhi nahin,

Shikwa -e-jaur kare kya koi us shokh se jo,
Saaf qaayel bhi nahin saaf mukartaa bhi nahin,

Meherbaani ko mohabbat nahin kehte aye dost,
Aah ab mujh se teri ranjish -e-bejaa bhi nahin,

Ek muddat se teri yaad bhi aayi nahin humen,
Aur hum bhool gaye hon tujhe aesa bhi nahin,

Yeh bhi sach hai ke mohabbat pe nahin main majboor,
Yeh bhi sach hai ke tera hussn kuch aisa bhi nahin,

Yuun to hungaame uthaate nahin deewaana-e-ishq,
Magar ae dost kuch aison ka thikaana bhi nahin,

Fitrat -e-hussn ko maloom hai tujh ko humdum,
Chaara hi ka hai ba-juzz sabr to hota bhi nahin,

Muuh se hum apne bura to nahin kehte ke firaq,
Hai tera dost magar aadmi achaa bhi nahin..


send poetry

Designed Shayari, Firaq Gorakhpuri, Ghazal Shayari
October 24th, 2016

Comment here

Your Comment: