Ahmad Faraz
Ranjish.com has lots of Urdu Ahmad Faraz Poetry. Feel free to add your own Ahmad Faraz Shayari here.Ahmad Faraz Collection
![]() |
Ahmad Faraz 1950-2008 |
Ahmad Faraz is one of the best poets Pakistan has ever seen. We bring you all the Ahmad Faraz poetry he has written, here at Ranjish.com. Lots of Ahmad Faraz poetry and Ahmad Faraz shayari is available here for you to read and enjoy. So keep coming up as we keep adding more and more poetry of ahmad faraz.
His real name was Syed Ahmed Shah but he chose to use “Faraz” as his pen name. Faraz was awarded several awards like Hilal-e-Imtiaz, Sitara-i-Imtiaz and Hilal-e-Pakistan. If you are looking for Ahmed Faraz Poetry then Ranjish.com is the ultimate place for your literary cravings.
Phiray Ga Tu Bhi Yun Hee Kuu-Ba-Kuu Hamari Tarah
Ahmad Faraz
Mein tujhe kho ke bhi zinda hoon.
Ahmad Faraz
Mein tujhe kho ke bhi zinda hoon, Yeh dekha tu ne,
Kiss qadar hauslaa haarey huye insaan mein hai..
Mein Aao Faraz So Jayein
Ahmad Faraz
Zahid sharab peene de masjid mein beth kar..
Ahmad Faraz
Zahid sharab peene de masjid mein beth kar,
Yaa woh jagha bata jahan Khuda nahin..
(Mirza Ghalib)
Masjid khuda ka ghar hai, peeney ki jagha nahin,
Kaafir ke dil mein ja, Wahan khudaa nahin..
(Allama Iqbal)
Kaafir ke dil se aya hon mein yeh dekh kar,
Khuda maujood hai wahan, Par usey pata nahin..
(Ahmad Faraz)
Phir Toot Ke Ronay Ki Rut Aayi Hai
Ahmad Faraz
Phir Toot Ke Ronay Ki Rut Aayi Hai
Phir Se Dilon Ke Zakham Nikhartay Jaatay Hain
Jhooti Sachi Taabeeron Ki Khwaahish Hai
Kaisay Kaisay Khwaab Bikhartay Jaatay Hain
Kaisay Kaisay Yaaron Ka Behroop Khula
Kaisay Kaisay Khoul Utartay Jaatay Hain
In Haalon Kab Apnay Aap Ko Dekha Tha ?
Kehnay Ko Din Raat Guzartay Jaatay Hain
Raahgeeron Ki Khamooshi Ko Gour Se Sun,
Yun Hai Jaisay Maatam Kartay Jaatay Hain
Kubhi Kubhi Koi Aisa Musaafir Aata Hai
Rastay Apnay Aap Sanwartay Jaatay Hain
Sheher-e-Ghazal Ki Galyon Mein Dilgeer Tere
Tujh Se Teri Baatain Kartay Jaatay Hain
Hui Hai Shaam Tou Aankhon Mein Bas Gayaa Phir Tu
Ahmad Faraz
Hui Hai Shaam Tou aankhon mein Bas Gayaa Phir tu,
kahaan gayaa hai mere shahar ke musaafir tu,
Bohat Udaas Hai Ik ShaKhs Tere Jaane Se,
Jo Ho Sake Tou Chalaa aa Usii Kii Khaatir tu,
Merii Misaal Ke Ik NaKhl-e-Khushk-e-Saharaa Huu.N
Teraa Khayaal Ke ShaaKh-e-Chaman Kaa Taa_ir tu,
Mai.n Jaantaa Huu.N Ke Duniyaa Tujhe Badal Degii
Mai.n Maanataa Huun Ke aisaa Nahii.n Bazaahir tu,
Ha.Nsii Khushii Se bichhar Jaa agar BichhaDnaa hai
Ye Har Maqaam Pe Kyaa Sochtaa Hai aaKhir tu,?
‘Faraz’ Tune Use Mushkilon Mein Daal Diyaa
Zamaanaa Saahib-e-Zar aur Sirf Shaayar tu..
Tota tu ho magar abhi bikhra ny faraz
Ahmad Faraz
Tota tu ho magar abhi bikhra ny faraz
mery badan pay jesy shikaston ka jaal ho
Yeh dil ka chor ke is ki zaroortain theen bohat
Ahmad Faraz
Yeh dil ka chor ke is ki zaroortain theen bohat,
Wagarna tark-e-taluq ki soortain theen bohat,
Miley to toot roye na khul ke batain keen,
Ke jese ab dilon mein Kudurtain theen bohat,
Bula diye hain tere gham ne dukh zamane ke,
Khuda nahin tha tou pathar ki moortain theen bohat,
Dareeda peerhano ka khayal kya ata,
Ameer sheher ki apni zarooratain theen bohat,
Faraz dil ko nigahon se ikhtlaaf raha,
Wagarna sheher mein hum-shakal soortain theen bohat.
(Chor:Something Fishy)(Tark-e-Taluq:Boycott)(Moortain:Idols)(Ikhtlaaf:Not Agreeing)
Qurbaton me bhi judai ke zamaane maange..
Ahmad Faraz
Qurbaton me bhi judai ke zamaane maange,
Dil woh be-mehr ke rone ke bahane maange,
Hum na hote to kisi aur ke charche hote,
Halqat-e-shehr to kehne ko fasaane maange,
Yehi dil tha ke tarassta tha maraasim ke liye,
Ab yehi tark-e-talluq ke bahaane maange,
Apna yeh haal ke jee haar chuke lutt bhi chuke,
Aur mohabbat wohi andaaz puraane maange,
Zindagi hum tere daaghon se rahe sharminda,
Aur tu hai ke sadaaa aayina-khaane maange,
Dil kisi haal pe qaane hi nahin jaane faraz,
Mil gaye tum bhi to kya aur na jaane maange..
Suna hai log usey ankh bhar ke dekhte hain
Ahmad Faraz
Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain
So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain
Suna hai rabt hai us ko kharab halon se
So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain
Suna hai dard ki gahak hain chashm-e-naaz us ki
So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain
Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf
So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain
Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain
Suna hai raat use chand takta rehta hai
Sitaray baam-e-falak se utar kar dekhtay hain
Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain
Suna hai din ko usay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain
Suna hai rat se barh kar hain kakulain us ki
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain
Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai
So us ko surma-farosh aaahhh bhar ke dekhte hain
Suna hai us ke labon se gulab jalate hain
So ham bahaar par ilzaam dhar ke dekhte hain
Suna hai aaina timsaal hai jabeen us ka
Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhte hain
Suna hai jab se hamaail hain us ki gardan main
Mizaj aur hi lal-o- gauhar ke dekhte hain
Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main
Palang zaaviye us ki kamar ke dekhte hain
Suna hai us ke badan ke taraash aisi hai
Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhte hain
Woh sarvqad hai magar be-gul-e muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain
Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka
So rah-ravaan-e-tamannaa bhi dar ke dekhte hain
Suna hai us ke shabistan se mutasil hai bahisht
Makeen udhar ke bhi jalway idhar ke dekhte hain
Rukay tu gardishain us ka tawaaf karti hain
Chalay to us ko zamanay theher ke dekhte hain
Kisay naseeb ke be-pairahan usay dekhay
Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhte hain
Kahaniyan hi sahi sab mubalaghe hi sahi
Agar woh khawb hai tabeer kar ke dekhte hain
Ab us ke sheher main thehrain ke kooch kar jayan
Faraz aao sitaray safar ke dekhte hain..
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ahmad Faraz.