Suna hai log usey ankh bhar ke dekhte hain
Suna hai log usey an..
Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain
So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain
Suna hai rabt hai us ko kharab halon se
So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain
Suna hai dard ki gahak hain chashm-e-naaz us ki
So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain
Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf
So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain
Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain
Suna hai raat use chand takta rehta hai
Sitaray baam-e-falak se utar kar dekhtay hain
Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain
Suna hai din ko usay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain
Suna hai rat se barh kar hain kakulain us ki
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain
Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai
So us ko surma-farosh aaahhh bhar ke dekhte hain
Suna hai us ke labon se gulab jalate hain
So ham bahaar par ilzaam dhar ke dekhte hain
Suna hai aaina timsaal hai jabeen us ka
Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhte hain
Suna hai jab se hamaail hain us ki gardan main
Mizaj aur hi lal-o- gauhar ke dekhte hain
Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main
Palang zaaviye us ki kamar ke dekhte hain
Suna hai us ke badan ke taraash aisi hai
Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhte hain
Woh sarvqad hai magar be-gul-e muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain
Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka
So rah-ravaan-e-tamannaa bhi dar ke dekhte hain
Suna hai us ke shabistan se mutasil hai bahisht
Makeen udhar ke bhi jalway idhar ke dekhte hain
Rukay tu gardishain us ka tawaaf karti hain
Chalay to us ko zamanay theher ke dekhte hain
Kisay naseeb ke be-pairahan usay dekhay
Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhte hain
Kahaniyan hi sahi sab mubalaghe hi sahi
Agar woh khawb hai tabeer kar ke dekhte hain
Ab us ke sheher main thehrain ke kooch kar jayan
Faraz aao sitaray safar ke dekhte hain..
Ahmad Faraz
November 28th, 2011
ASLAM JATOI
December 6th, 2012 at 1:51 am
My favrte ghzl
ASLAM JATOI
December 6th, 2012 at 1:52 am
wa faraz wa
Riaz
March 15th, 2013 at 8:07 pm
Muhabton me jo bichre to humsafar na milay.
hum aik shaher mein rah kar b umar bhar na milay.
SunnyKH
May 3rd, 2013 at 10:16 am
pLZ I Need Explaination Of This Can Any 1 Help Me
sadiA
September 11th, 2013 at 12:06 pm
heart fvrt
Kashif Siddiqui
September 15th, 2013 at 2:16 pm
Awesome
Kashif Siddiqui
September 15th, 2013 at 2:16 pm
Awesome ghazal wow
Sajjad Ali
January 23rd, 2014 at 2:22 pm
So Booring
Sajjad Ali
January 23rd, 2014 at 2:22 pm
Remove this page from internet
RANA ZAID
January 24th, 2015 at 7:43 pm
my fvrt gzl
Khan Zada
February 5th, 2015 at 9:09 am
mujhy is ghazal ke kuch lafzon k meanings puchny hain koi btayenga plZzzz
Rana Noman
February 25th, 2015 at 3:44 pm
very very nice ghazal
Raja Babbu
March 17th, 2015 at 12:35 pm
Very Nice GazaL (y)
Raja Babbu
March 17th, 2015 at 12:37 pm
PoochiyeY KhaN Zada Bhai Kiya Samajh Nei Aa Rha Aap Ko ??
mohd yameen
April 7th, 2015 at 11:22 am
Masha allaha kafi betar gazal Lagi
Zulaikha
August 15th, 2015 at 2:16 pm
Very nice kia baat hair
Muhammad Rashid
August 17th, 2015 at 9:24 am
nice
shahrukh ali
August 23rd, 2015 at 3:49 pm
suna he Aap haste ho to shaam rangeen Lagti he.suna he Aap ke libaas se shayri jhalakti he. Ak khubsurat sa khawaab ho tum sab ke dil ka. to aao Shahrukh hum bhi sehar kar ke dekhte he
Mahi
August 30th, 2015 at 4:41 pm
Please any body can provide this ghazal…. Hum ne suna ha rahta ba beqaraar wo….
M.Hammad Mustafa Maki
November 12th, 2015 at 1:50 pm
very very nice ghazal
Nouman
December 6th, 2015 at 4:34 am
Bewafa jan
Gull Nawaz
June 24th, 2016 at 9:18 am
Nice bhot khub awesome ghazal
Nasir Akbar Gopang
August 27th, 2016 at 6:11 am
Great gazal ever heard.
this is the gazal of centenary.
will remain over hundreds of years.
sajjad
September 18th, 2016 at 1:37 pm
Awsome poetry by Ahmad Fraz.
+923004088686
anyone can ask meaning from this Gazal. my whats app number is here
Shams Malik
November 23rd, 2016 at 12:43 am
Good Poetry….
Urooj muskan
April 18th, 2017 at 10:59 pm
Plz I need explanation for it can someone help me
Junaid
July 15th, 2017 at 2:37 am
Dasht bhar k dekhna meaning plz