Mohabbat ab nahin hogi..

Mohabbat ab nahin ho..

Mohabbat ab nahin hogi,
yeh kuch din baad main hogi,
sitare jo damakte hain,
kisi ki chashm-e-hairan main,
mulaqaten jo hoti hain jamal-e-abr-o-baraan main,

ya na-abaad waqton main dil-e-nashad main hogi,
mohabbat ab nahin hogi,
yeh kuch din baad main hogi,

guzar jayen ge jab yeh din,
yeh un ki yaad main hogi,
mohabbat ab nahin hogi..


send poetry

Munir Niazi, Video Shayari
July 22nd, 2017

One comment

  1. Yah ranjashein adavatin us ki

Comment here

Your Comment: