Babur Ali Asad

Ranjish.com has lots of Urdu Babur Ali Asad Poetry. Feel free to add your own Babur Ali Asad Shayari here.

Babur Ali Asad Collection

Babur Ali Asad is an Urdu poet from Lyallpur, Pakistan. A regular attendant and participant of local and international gatherings of Mushairs. We bring you all the shayari written by Babur Ali Asad.



sabzz baaghon ki virasat ka baRa fayeda hai

Babur Ali Asad

sabzz baaghon ki virasat ka baRa fayeda hai
hum faqeeron ko aqeedat ka baRa fayeda hai

ik bhale shakhss ne hum par yeh haqeeqat kholi
hum samajhte thay mohabbat ka baRa fayeda hai

log to aag lagane se kamaa lete hain
kuch ko nafrat ki tijarat ka baRa fayeda hai

khud ko dikhte hain na auron ko nazar aate hain
hum ko is nuqs e basaarat ka baRa fayeda hai



ginti ke mere yaar hain aur yaar bhi kitne

Babur Ali Asad

ginti ke mere yaar hain aur yaar bhi kitne
choTi si kahani ke hon kirdaar bhi kitne

munkir ko wazahat ke takaluf ki zaroorat
thoRe se to inkaar hain inkaar bhi kitne

aese bhi nahin hain ke usay jeet ke lauTen
maana zara hoshyaar hain, hoshyaar bhi kitne


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Babur Ali Asad.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari