Jigar Moradabadi

Ranjish.com has lots of Urdu Jigar Moradabadi Poetry. Feel free to add your own Jigar Moradabadi Shayari here.

Jigar Moradabadi Collection

Jigar Moradabadi Poetry Jigar Moradabadi
1890-1960

Jigar Moradabadi was a famous Urdu poet from Moradabad, India. His real name was Ali Sikandar but opted to use Jigar Moradabadi as his pen name. He lost his father in his early childhood, which is thought to be the reason behind him choosing urdu poetry as his career.
Jigar Moradabadi was mentor to a famous urdu poet and songwriter Majrooh Sultanpuri.
Ranjish.com is the ultimate place to read Jigar Moradabadi Poetry.



Aatish-e-ishq woh jahannum hai..

Jigar Moradabadi

Aatish-e-ishq woh jahannum hai,
Jis main firdaus ke nazaare hain..



Aghaz-e-mohabbat ka anjam bas itna hai..

Jigar Moradabadi

Aghaz-e-mohabbat ka anjam bas itna hai,
Jab dil main tamanna thi, ab dil hi tamanna hai..



Tabiat in dinon begana-e-gham hoti jati hai..

Jigar Moradabadi

Tabiat in dinon begana-e-gham hoti jati hai,
Mere hisse ki goya har khushi kam hoti jati hai..



Kuch is adaa se aaj woh pehlu-nasheen rahe..

Jigar Moradabadi

Kuch is adaa se aaj woh pehlu-nasheen rahe,
Jab tak hamare paas rahe hum naheen rahe..



Kuchaaa-e-ishq main nikal aya..

Jigar Moradabadi

Kuchaaa-e-ishq main nikal aya,
jis ko khana-kharab hona tha..



Kuch is adaa se aj woh pehlu-nasheen rahe..

Jigar Moradabadi

Kuch is adaa se aj woh pehlu-nasheen rahe,
Jab tak hamare pas rahe hum nahin rahe,

Imano-o-kufr aur na duniya-o-deen rahe,
Ae ishq-e-shad-bash ke tanha humeen rahe,

Aalam jab ek haal pe qaayem nahin rahe,
Kya khaak eitbar-e-nigah-e-yaqeen rahe,

Meri zaban pe shikwa-e-dard-afreen rahe,
Shayar mere havaas thikane nahin rahe,

Kis dard se kisi ne kaha aaj bazm main,
Acha yeh woh nang-e-mohabbat yahin rahe..



Jab mili ankh hosh khho bethe..

Jigar Moradabadi

Jab mili ankh hosh khho bethe,
Kitne hazir-jawab hain hum log..



Hum ishq ke maron ka bas itna hi fasana hai..

Jigar Moradabadi

Hum ishq ke maron ka bas itna hi fasana hai,
Rone ko nahin koi, hansne ko zamana hai..



Ankhon main bass ke, dil main samaa ke chale gaye..

Jigar Moradabadi

Aaye thay dil ki pyas bujhane ke vastay

Ankhon main bass ke, dil main samaa kar chale gaye,
Khawbeeda zindagi thi jagaa kar chale gaye,

Husn-e-azal ki shaan dikha kar chale gaye,
Ik vaaqiya sa yaad dilaa kar chale gaye,

Chehre tak aasteen woh la kar chale gaye,
Kya raaz tha ke jis ko chupaa kar chale gaye,

Rag rag main is tarah woh samaa kar chale gaye,
Jaise mujhi ko mujh se churaa kar chale gaye,

Samjha ke pastiyan mere auj-e-kamal ki,
Apni bulandiyan woh dikha kar chale gaye,

Apne farogh-e-husn ki dikhlaa ke vusaten,
Mere huduud-e-shauq barrhaa kar chale gaye,

Har shai ko meri khatir-e-nashad ke liye,
Aayina-e-jamal bana kar chale gaye,

Aaye they dil ki pyaas bujhaane ke vastay,
Ik aag si woh aur lagaa kar chale gaye,

Ab karobaar-e-ishq se fursat mujhe kahan,
Kaunain ka woh dard barrhaa kar chale gaye,

Shukr-e-karam ke sath yeh shikva bhi ho qubuul,
Apna sa kyun na mujh ko bana kar chale gaye,

Lab tharthraa ke reh gaye lekin woh ae jigar,
Jaate huye nigaah milaa kar chale gaye..

آنکھوں میں بس کے دل میں سما کر چلے گئے - جگرؔ مرادآبادی



Dono hathon se looTti hai humen..

Jigar Moradabadi

Dono hathon se looTti hai humen,
Kitni zaalim hai teri angrrayi..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Jigar Moradabadi.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari