Pagal bana deta hai ye ishq. . !

Pagal bana deta hai ..

Jigar jala deta hai ye ishq
Ghum barha deta hai ye ishq

Kabhi kabhi aisa bhi hota hai
Pagal bana deta hai ye ishq

Bikher jaty hain sehra mein taza phool
Umeedain mita deta hai ye ishq

Ujarr jaty hain aabad gharanay
Aisa barbaad karta hai ye ishq

Ik awaara mizaaj ko bhi
Qaidi bana deta hai ye ishq

Jis ne kiya wohi janta hai ‘Gul’
Kia se kia bana deta hai ye ishq.


send poetry

Dard Bhari Shayari, Ishq Shayari, SMS Shayari
April 12th, 2013

Comment here

Your Comment: