Na janey kyon aaj bhi yeh ehsaas hota hai..
Na janey kyon aaj bhi yeh ehsaas hota hai,
Tu saath nahin, phir bhi paas hota hai,
Jo dil-e-sheher aik baar barbaar ho jaye,
Mudatton baad woh phir se abaad hota hai,
Kabhi yoon bhi hota hai ke jise apna samjha jaye,
Waqt aaney per woh shakhs hi paraya hota hai,
Tu chala jata hai jab bhi chorr kar mujhe,
Dil ke koney ke, Tu kahin paas hota hai,
Pagal ko samajhne ke liye zarourat nahin hain hawalon ki,
Bass ek lafz “Mohabbat” hi kaafi hota hai,
Aankhon se behte huye samandar ko paani na samaj,
Yaad karte huye tujhe, Meri ankhon mein lahuu hota hai,
Lot’te nahin hain dobara jo ek baar chale jate hain,
Magar phir bhi duayon ki umeed mein tu hi aas hota hai,
Tere siwaa mere kaano ko koi sadaa pasand nahin ati,
Bas ek tu hi meri dharkan ki awaz hota hai,
Bhattak jata hoon mein jab bhi ghamon ke saye mein,
Dilaasey ke liye mere pass teri yaad ka jugnu hota hai,
Hamare naseeb mein kahan hai tujse milna,
Hamare liye to khawb ka jahan hi haqeeqat hota hai,
Raat kitni hi taweeel kyon na ho jaye Hussnain,
Aik na aik din zaroor sawera hota hai…
More Urdu Poetry:
- is sheher ka har fard parshaan sa kyon hai yeh sheher agar sheher hai to sunsaan sa kyon hai...
- Jab koi nahi hota Khud hi chaly aty hain jab koi nahi hota ankhon...
- Laut k jate kyon ho Apne hathon se yon chehre ko chupate kyon ho, Mujh...
- Mohabbat ki tabiyat mein agarcha gham nahin hota Mohabbat ki tabiyat mein agarcha gham nahin hota Magar hadsha...
- Kyon Ye Hairani Kyon Nahi Jatti Nikala Ham Ko ? JANNAT ? Se Fareb-e-Zindagi De Kar...
- Mujhe Itna Pyaar Kyon Hai Ek Ajnabi Se Mujhe Itna Pyaar Kyon Hai Inkar Karne...
- Iss kadar tootay ho, to bikhar kyon nahin jate, Akhir keh hi dala us ne ik din, Iss kadar...
- Aik jugnu meri wehshat ka sabab hota tha Aik jugnu meri wehshat ka sabab hota tha Shaam ke...
- Benaam sa yeh dard Benaam sa yeh dard theher kyon nahin jata Jo beet...
- HAMARA HOTA Sham ko parindon ki tarah lout aata, Muntazir agar koi...
- Kahan hota hai Jis ghari us ki yadon ka sama hota hai, Phir...
- Koi to hota KOI TO HOTA…. mai jis k dil ki kitaab benta...
- Anjan sA shaks Chand ki simat nazar jaye to kya hota hai Rat...
- Kitni masoom ada Chand ki simat nazar jaye to kya hota hai Rat...
- Ataa Jisay Tera Aks-e-Jamaal Hota Hai Ataa Jisay Tera Aks-e-Jamaal Hota Hai Wo Phool Saaray Gulistaan...
Advertisement














