Aao udaas raton raton main

Aao udaas raton rato..

Aao udaas raton main
Dil ki basti mai a k dekho
Har ek rasta har ek daricha
Tumhari chahat ka muntazir hai
Falak say takta hai chand tum ko
Sitaray tum ko bula rahey hain
Tumhari aamad k muntazir hain
Mujhy yaqin hai tumharey dil mai
Gaye dino k khayal hain kuch
Naye safar k malal hain kuch
Nayi ruton k sawaal hain kuch
Agar ye such hai to meri mano
Purany raston pe loat aao
Purani basti mai koi ab tak
Tumhari aamad ka muntazir hai…….


send poetry

Pyar Mohabbat Shayari
October 18th, 2011

Comment here

Your Comment: