Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai

Muhabbat phir mujh k..

Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..
Meri rooh mujh se bichar jane ko hai
Wafa-e-muhabbat raak ho jane ko hai
Jo mere dil se jhor kar meri zaat mein raha
Woh bandhan pal mein toot jane ko hai
Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..
Sokoon dil barbaad ho jane ko hai
Raapte socho ke simat jane ko hai
Yeh kaisa too ne muhabbat mein faasla rakha
Apna ho ke ajnabi ho jane ko hai
Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..
Qurbato ke nisha mit jane ko hai
Faasle dooriyu mein badal jane ko hai
Woh ja sakta hai meri muhabbat ko chor ke
Meri zaat to us ki muhabat mein waft ho jane ko hai


send poetry

Umeed Shayari
July 22nd, 2009

2 comment

  1. hi,,,,boht khob,,,,,,,wyse mohobat mein kuch mila to nahi phe bhi sb hi krty hain,,,,,,mainy b ki pr mili nahi apna jo tha wo sb kuch kho diya,,,,,,es liye ab mohobat lafz se hi dil dar sa jata hai,,,,,,pr ye ghazal dil ko cho jati hai,,,,,,from,,,,JANNAT KHAN

  2. Is ghar mein Kabi Noor-e-Sahar hi nai Aata,
    Soraj to nikalta hai, Idher hi nai Aata

    Do rovia khare log, teri deed k motaj
    tu hai k sar-e-raguzer hi nai Aata

    Hum masle hal kertey hain arbab-e-Janoun k
    Aur khud c nimatne ka huner hi nai Aata

    Her gaam pe tabdeel keroun ik nia Saathi
    Aisa Mujhe Anadaz-e-safar hi nai Aata

    In ko Shikayat hai k likhte hain Bohat kuch
    Kaghaz pe magar harf-e-Asar hi nai likhte

    Jab tak k na ho aik tera Khoon Paseena
    ye Shairi kia, Koi huner hi ni Aata

Comment here

Your Comment: