Jise bhulaye kayi saal ho gaye

Jise bhulaye kayi sa..

Main hosh mein tha tou phir Uss pe mar gaya kaise
Yeh zehar mere lahoo mein utter gaya kaise

Kuch Uss k dil mein lagawat zaroor thi warna
Woh mera haath daba ker guzar gaya kaise

Zaroor Uss ki tawajo ki rehbari ho gi
Nashe mein tha tou main apne hi ghar gaya kaise

Jise bhulaye kayi saal ho gaye Kamil
Main aaj Uss ki Gali se guzar gaya kaise


send poetry

Aansoo Shayari, Dard Bhari Shayari
September 29th, 2010

10 comment

  1. BHOUT ACHA SHARE H WAH

  2. ITS SO BRILLIANT KEEP IT UP FROM SOOBIA

  3. aaj phir kisi ne pucha k
    tera hastha hua chehra ithna udas kyu hai?
    barasthi ankhon mai pyaas kyu hai?
    jis ki naazron mai tum kuch bhi nahi ,wo tere liye ithna khaas kyu hai?

  4. bewafa wo nahi hum hi kharab hai
    zeher ki zarurath nahi
    mar jaenge sharab se
    kante mehsus hi nahi hue
    kyun k pyar hi ithna tha us gulab se

  5. Aaj phir kisi ny pocha……

    very nice.

  6. Dil ko behlane ki phir haramkhor koshish nakam rehti hy,

    Hum ko khabar hy bichar janay k gham kesay hotay hen……

  7. Dil ko behlane ki phir har koshish nakam rehti hay,

    Ham ko khabar hay bichar janay k gham kesay hotay hen…

  8. supeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeerb

  9. DIL KO BHEHLANE KI PHIR……
    veryy nice poetry thanks 4 shairing…..!!!

  10. ab ki bar mily ga to kuhb rolayian ge Tabish suna hai usko ronay main liptnay ki adat hai

Comment here

Your Comment: