Harf-e-tauba humein sikha phir se..

Harf-e-tauba humein ..

Harf-e-tauba humein sikha phir se,
Humein dikhlaa raah-e-khuda phir se,

Le kar apni panaah main ya rab,
Humein Shaitaan se bachaa phir se,

Phir sunaa de humain naveed-e-bahisht*,
Naar-e-dozakh* se bhi daraa phir se,

Hum bhatakne lage hain dikha de,
Aye khuda seedha raasta phir se,

Jaise ki thi mere bazurgon ki,
Kar qabool aise hi meri dua phir se,

Fikar taaza ho jis ki khusbhuu se,
Phool gulshan main aisa khilaa phir se..

(naveed-e-bahisht:heaven, jannat ki khush’khabri) (Naar-e-dozakh:fire of hell, dozakh ki aag)


send poetry

Dua Shayari
December 18th, 2014

One comment

  1. i love you

Comment here

Your Comment: