Mene socha tha, Aj aap ayen ge to ro doon gi..
Mene socha tha, Aj a..
Mene socha tha,
Aj aap ayen ge to ro doon gi,
Aap puchain ge,
To sab haal keh doon gi,
Keh doon gi ke kitne din huye soyi nahin,
Woh konsi bhool hai jo huyi nahin,
Kitaab fridge mein, Glass shelf mein rakha,
Peer ka din tha jumeraat likha,
Saheli se shikwa karna tha usey spaas likha,
TV per geet tha Azaan nahin,
Mene chonk kar aanchal sar per rakha,
Kya haal kar diya mera,
Mujhe kisi kaam ka na rakha,
Aur…
Jab aap ne aakar poocha,
Kya haal hai ?
To mein itna hi keh saki,
“Theek Hoon”..
Poetry For Girls, Riffat Seraj
August 9th, 2012
Saeem Shah
September 12th, 2012 at 9:29 pm
Bohat pyari ghazal hai Riffat Seraj ke is tarh ke aur bhi ghazal snd kara plz
C S Yadav
November 15th, 2012 at 11:13 pm
Masha allah
TARIQ MEHMOOD
February 10th, 2013 at 5:28 pm
Bht khobsorat natrul nd so sweet