Chandni Raat Ko Saher Kehna

Chandni Raat Ko Sahe..

Chandni Raat Ko Saher Kehna
Dosto Yoon Nahi, Magar Kehna,

Ab Kahaan Woh Bahaar Phoolon Ki
Gul-e-Nargis Ko Chashm-e-Tar Kehna,

Bujh Chuke Hain MUhabbaton Kay Charagh
In Diyaaron Ko Ab Khandar Kehna,

Raah Mein Lutt Kay Baythne Waalo
Ab Kisi Ko Na Humsafar Kehna,

Khud Ujaagar Karo Hunar Apna
Dosron Ko Na Kam Nazar Kehna,

Hum Ko Awaargi Kay Parde Mein
Dil Ki Baaten Edhar Udhar kehna,

Zikar Teraa Gali Gali Karna
Haal Apna Nagar Nagar kehna,

Ab Goya Azaab-e-Jaan Hai “Faraz”
Jo Bhi Kehna Ho Soch Kar kehna.


send poetry

Ahmad Faraz
September 5th, 2012

Comment here

Your Comment: