qariib maut kha.Dii hai zaraa Thahar jaao

qariib maut kha.Dii ..

qariib maut kha.Dii hai zaraa Thahar jaao
qazaa se aa.Nkh la.Dii hai zaraa Thahar jaao

thakii thakii sii fazaaye.N bujhe bujhe taare
ba.Dii udaas gha.Dii hai zaraa Thahar jaao

nahii.n ummiid ki ham aaj kii sahar dekhe.n
ye raat ham pe ka.Dii hai zaraa Thahar jaao

abhii na jaao ki taaro.n kaa dil dha.Dakataa hai
tamaam raat pa.Dii hai zaraa Thahar jaao

phir is ke baad kabhii ham na tum ko roke.nge
labo.n pe saa.Ns a.Dii hai zaraa Thahar jaao

dam-e-firaaq me.n jii bhar ke tum ko dekh to luu.N
ye faisale kii gha.Dii hai zaraa Thahar jaao


send poetry

Ahmad Faraz
August 30th, 2012

Comment here

Your Comment: