Chaand Meri Tarah Pighalta Raha

Chaand Meri Tarah Pi..

Chaand Meri Tarah Pighalta Raha
Neend Mein Saari Raat Chalta Raha

Jaanay Kis Dukh Se Dil Girifta Tha
Mun Pe Baadal Ki Raakh Malta Raha

Mein Tou Paaon Ke Kaantay Chunti Rahi
Aur Wo Raasta Badalta Raha

Raat Galyon Mein Jub Bhatakti Thi
Koi Tou Tha Jo Saath Chalta Raha

Sard Rut Mein, Musaafiron Ke Lye
Payrr, Ban Kar Alaao, Jalta Raha

Mausami Bel Thi Mein Sookh Gayi
Wo Tanaawar Darakht, Phalta Raha

Dil, Mere Tan Ka Phool Sa Bacha
Patharon Ke Nagar Mein Palta Raha

Neend Hee Neend Mein Khilonay Lye
Khwaab Hee Khwaab Mein Behelta Raha


send poetry

Parveen Shakir
October 15th, 2012

2 comment

  1. nice

  2. Meri zindgi to firaaq hy, wo azal sy dil
    mein makeen sahi Wo nigah_e_shoq sy door
    hen,rag_e_jaan sy laakh qareeb sahi. Sr_e_toor ho, sr_e_hashr ho, hmen
    intezar qabool hy. Wo kbi milen, wo kahin milen, wo kbi
    sahi wo kahin sahi. Mera unpe jo bas nahi, to na sahi, k ye
    ashqi hy hawas nahi. Mein unhi ka tha, unhi ka hun, wo
    mery nahi to nahi sahi. Jo ho fesla wo sunaiye, isay hashr py
    na uthaiye. Jo krengy ap sitam wahan,wo abi sahi
    wo yahin sahi. Usy dekhny ki jo lo lagi, to dekh hi
    lengy qateel hm. Wo hazaar ankh sy door ho, wo hazaar
    parda nasheen sahi

Comment here

Your Comment: