Tamaam raat mere ghar ka aik dar khula raha

Tamaam raat mere gha..

Tamaam raat mere ghar ka aik dar khula raha,
Main raah dekhti rahi, woh rasta badal geya,

Woh sheher hai ke jadugarniyon ka koi des,
Wahan to jo geya kabhi laut kar na aasaka,

Main wajah-e-tark-e-dosti ko sun ke muskurayi to,
Woh chaunk utha, ajab nazar se mujh ko dekhne laga,

Bichar ke mujh se, halaq ko aziz ho geya hai tu,
Mujhe to jo koi mila, tujhi ko puchta raha,

Woh dilnawaaz lamhe bhi gayi ruton mein aye jab,
Main khawb dekhti rahi, woh mujh ko dekhta raha,

Woh jis ki ek pal ki be’rukhi bhi dil ko haar thi,
Usey khud apne hath se likha hai, mujhe bhool ja,

Damak raha hai aik chaand se jabee’n pe ab talak,
Gurez’paa mohabton ka koi pal theher geya..


send poetry

Parveen Shakir
September 20th, 2012

Comment here

Your Comment: