Woh jab se sheher-e-harabaat ko rawaana hua..

Woh jab se sheher-e-..

Woh jab se sheher-e-harabaat ko rawaana hua,
Barahe’raast mulaqaat ko zamana hua,

Woh sheher chorr ke jaana to kab ka chahta tha,
Yeh naukri ka bulawaa to ik bahaana hua,

Khudaa kare teri ankhain hamesha hansti rahain,
Yeh aankhain jin ko kabhi dukha ka hausla na hua,

Kinaar-e-sehen chaman sabz bail ke nechey,
Woh roz subah ka milna to ab fasaana hua,

Main sochti hoon ke mujh mein kami thi kis shayy ki,
Ke sab ka ho ke raha woh, bas ik mera na hua,

Kisey bulati hain aangan ki champayi shaakhain,
Ke woh ab apne naye ghar mein bhi purana hua,

Dhanak ke rang main saari to rang li hain mene,
Aur ab yeh dukh, ke pehen kar kise dikhana hua,

Main apne kaano’n main bele ke phool kyon na pehnoon,
Zabaan-e-rang se kiss ko mujhe bulana hua..


send poetry

Parveen Shakir
September 15th, 2012

Comments are closed.

Parveen Shakir
Parveen Shakir
1952-1994
Karachi
Poetries: 131
Separator
love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari