Aye dost teri aankh jo namm hai to mujhe kya..

Aye dost teri aankh ..

Aye dost teri aankh jo namm hai to mujhe kya,
Main khuub hansuunga tujhe gham hai to mujhe kya,

Kya main ne kaha tha ke zamaane se bhalaa kar,
Ab tuu bhi sazavaar-e-sitam hai to mujhe kya,

Haan le le qasam gr mujhe qatra bhi mila ho,
Tuu shaaki-e-arbaab-e-karam hai to mujhe kya,

Jiss dar se nidaamat ke siva kuch nahin milta,
Uss dar pe tera sar bhi jo khham hai to mujhe kya,

Maine to pukaara hai mohabbat ke ufaq se,
Raaste mei tere sang-e-haram hai to mujhe kya,

Bhuula to na hoga tujhe suqraat ka anjaam,
Haathon mei tere saaghar-e-sam hai to mujhe kya,

Pathar na parren gr sar-e-bazaar to kehna,
Tuu mo.tarif-e-husn-e-sanam hai to mujhe kya,

Main sarmad-o-mansuur banaa hoon teri khaatir,
Yeh bhi teri umeed se kam hai to mujhe kya..


send poetry

Qateel Shifai
January 2nd, 2015

Comment here

Your Comment: