Kahin door chal mere hamnawaa..

Kahin door chal mere..

ab nafsa nafsi ka daur hai

Kisi aur bassti main dil laga, kahin door chal mere hamnawaa,
Hai sheher mukamal faraib ka, kahin door chal mere hamnawaa,

Har shakss matlab parast hai, humen is nagar main shikast hai,
Na tera hai koi na hai mera, kahin door chal mere hamnawaa,

Ab nafsa nafsi ka daur hai, be-reham logon ka zor hai,
Ab koi bhi nahin aasraa, kahin door chal mere hamnawaa,

Woh jo meri duniya main rang tha woh jo shaks meri umang tha,
Wohi shakss mujh se bicharr geya, kahin door chal mere hamnawaa,

Woh jo lamha lamhaa qareeb tha, woh jo sirf mera naseeb tha,
Woh mere naseeb se mitt geya, kahin door chal mere hamnawaa,

Kab tak rahe ga woh aas main, “naqvi” woh har ik saans main,
Kab tak rahe ga yuun mubtilaa, kahin door chal mere hamnawaa..


send poetry

More Syed Uzair Naqvi, ;

Syed Uzair Naqvi
April 23rd, 2016

Comment here

Your Comment: