Baitton ko sazaa de ke ajab haal hua hai.
Baitton ko sazaa de ..
Baitton ko sazaa de ke ajab haal hua hai,
Dil pehron mera qurb ke dozakh main jala hai,
Aurat ko samajhta tha jo mardon ka khilona,
Uss shakss ko damaad bi waisaa hi mila hai,
Har ehl-e-hawwas jaib main bhar laaya hai pathar,
Hamsaaye ki bairi pe abhi boar parra hai,
Ab tak mera asaaab pe mehnat hai musallat,
Ab tak mere kaanon main machinon ki sadaa hai,
Aye raat mujhe maan ki tarah goad main lele,
Dil bhar ki mushaqat se badan toot raha hai,
Shayed main ghalat daur main utraa hon zameen pe,
Har shakss tahayyur se mujhe dekh raha hai..
Tanveer Sipra
May 1st, 2015
Aadil sayyed
May 5th, 2015 at 11:00 am
Mujhe qaid kar lo apne ishq mein ya fir
Mujhe ishq karne ke ijazat de do…!!
Dil ki becheni ab or bardasht nhi mujhse
Dil yeh nadan tujh par ayaa zamana ho chuka..