Hussain Ki Namaz Jari Hai

Hussain Ki Namaz Jar..

Jabeen-E-Ibn-E-Ali Ki Niyaz Jari Hai
Khuda K Deen Ki Umr-E-Daraz Jari Hai
Sajday Main Rakh K Sir Ko Na Uthaya Hussain Nay
Mere Hussain Ki Ab Tak Namaz Jari Hai


send poetry

Hussani Shayari
July 18th, 2009

8 comment

  1. Sulah Hasan hai Ahmad e mukhtar ki tarah
    jung e Husain hai Haidar e qarrar ki tarah
    hashr me uthunga leke ashq e gham e Husain
    uthegi har nazar kharidar ki tarah

  2. Shaheed marte nahi wo bhi Husain jaise shaheed
    hum is yaqeen ko aagahi samajhte hain
    hamari aankho pe aansu nahi charaghan hain
    gham e Husain ko hum roshni samajhte hain

  3. Aankhon k sahelon pe hai ashkon ka ek hujoom
    Shayad Gham e Hussain ka mosam qareeb hai

  4. Faraz e daar se Meesam bayan daite hain
    Rahe ga zikr e Ali Ham zubaan daite hain
    Safain banao mohibo k daar se Meesam
    Namaz e ishq e Ali ki Azan Daite hain
    Ali k jaa e weladat ki jab bhi baath chali
    kaha Khuda ne Ham apna Makan Daite hain

  5. Jabeen-E-Ibn-E-Ali Ki Niyaz Jari Hai
    Khuda K Deen Ki Umr-E-Daraz Jari Hai
    Sajday Main Rakh K Sir Ko Na Uthaya Hussain Nay
    Mere Hussain Ki Ab Tak Namaz Jari Hai

  6. I am Hussaini

  7. aansu nahi ye shart hain ishk e hussain (as) ki …………….
    hussain (as) ka zikr ho to laazim hain aankhon ka namh hona

  8. zinda jawed ka gam ham manate hi rahenge …………
    ta qayamat ham hussain (as) par dil o jaan lutate hi rahenge
    karbal me mazloom par koi roya nahin ……………
    ab ta hashr ham yu hi aansu bahate rahenge…………

Comment here

Your Comment: