Leta Tamam Kaam Wo Apne

Leta Tamam Kaam Wo A..

Leta Tamaam Kaam Woh Apne Wali Se Hy

Nisbat Har Aik Imam Ki Noor-e-Jali Se Hay

Kul Akhtiyaar De Diya HASSAN-o-HUSSAIN Ko

Daita Khuda Zaroor Hay Par Milta ALI Say Hay


send poetry

Hussani Shayari
July 18th, 2009

2 comment

  1. Atif ali bhatti palkoon ke sahiloon pe hai ashkoon ka ik hajoom,,, shayad ghum-e-hussain ka mosam kareeb hai. Aur ab nihayat adab se apni ik koshish paish krta hun. Waris-e-sabro raza sibt-e-payambar ka ghum krien, aur chatey maah ke masoom ali asghar ka ghum krien. Karbla me jo tha tasveer-e-Hazrat-e-Rasool, jaan-e-umme Rubab Ali Akbar ka ghum krien. Baap ki tarha tha wo aien deen par, us bemisaal Qasim-e-dilawar ka ghum krien. Akhir-e-umr me tha zeenat-e-shariyyat jo, sahabiye Rusul ibne Muzahir ka ghum krien. Mashkizaye wafa hai jis se bhara hua, us Abbas Alamdaar Ibne Haider ka ghum krien. Kis kamsini me zindanaye zulmat me jaan di, aah musafiraye shaam bint-e-Shabbar ka ghum krien

  2. Karain hazaar wo sajde bhale se zahid hon
    Agar Ali (a.s) se mawaddat nahin tou kuch bhi nahi
    Likhay huroof hon na ho sabaat e goyai
    Nighah e fikr main shiddat nahin tou kuch bhi nahi
    Parho namaz agarcha Khuda ke Kabe main
    Mere Imam (a.s) se nisbat nahin tou kuch bhi nahi
    Baghair e sharat e wila zeest na makamal hai
    Badan main tere hararat nahi tou kuch bhi nahi
    Mili wila e Ali (a.s) hai naseeb walon ko
    nasab main hai ye jibillat nahi tou kuch bhi nahi
    Karor lakh hon pallay arab kharab lekin
    Agar hai ilm ki dolat nahin tou kuch bhi nain
    Namood e kaar e mayishat rawan dawan lekin
    Tujeh namaz ki fursat nahi tou kuch bhi nahi
    Gham e Hussain se dil main agar ramaq hi na ho
    Hayaat e chasham main riqqat nahi tou kuch bhi nahi
    Nikal sakay na agar ashak muaaf hai lekin
    Banai roney ki surat nahi tou kuch bhi nahi
    Kamaal e zooq main Mehdi ajab asar dekha
    Sukhan wari main ho midhat nahi tou kuch bhi nahi

Comment here

Your Comment: