Agar yeh keh do bagher mere nahin guzara to main tumhara..

Agar yeh keh do bagh..

Agar yeh keh do bagher mere nahin guzara to main tumhara,
Ya is pe mabni koi taasur koi ishaara to main tumhara,

Tum apni sharton pe khel khelo, main jese chahon lagaon bazi,
Agar main jeeta to main tumhara, agar main hara to main tumhara,

Tumhara ashiq tumhara mukhlis, tumhara sath tumhara apna,
Raha na in main se koi duniya main jab tumhara to main tumhara,

Tumhara hone ke faisle ko main apni qismat pe choRRta hoon,
Agar muqaddar ka koi toota kabhi sitara to main tumhara,

Yeh kis pe taveez kar rahe ho, yeh kis ko paane ke hain wazeefe,
Tamam chorro bas ik jo kar lo istikhara to main tumhara..


send poetry

Amer Ameer, Video Shayari
May 6th, 2017

3 comment

  1. i think there is a problem with second couplet’s second verse .i.e “Agar main jeeta to main tumhara, agar main hara to main tumhara,”

    it must be “Agar main jeeta to “TUM HO MERE”, agar main hara to main tumhara”..!!

  2. kindly change the font syle of gazal me tumhara

  3. The 2nd stanza should have “Agar mai jeeta to tum ho mere, agar mai hara to mai tumhara”

Comment here

Your Comment: