Jab umar ki naqdi hatam huyi..
Jab umar ki naqdi ha..
Ab umar ki naqdi khatam huyi
Ab hum ko udhaar ki haajat he
He koi jo saahukaar bane ?
He koi jo deewanhaar bane?
Kuch saal maheene din logo
Per suud beyaj ke bin logo
Haan apni jaan ke khazaane se
Haan umar ke tausha-khane se
Kia koi bhi saahukaar nahin
Kia koi bhi deewanhaar nahin
Jub naam udhaar ka aaya hai
Kiun sub ne sir ko jhukaya hai
Kuch kaam hamain nibtane hain
Jinhain jaan’ne wale jane hain
Kuch piyar dulaar ke dhande hain
Kuch jug ke dooosre phande hain
Hum maangte nahi hazaar barass
Dus paanch barass, do chaar barass
Haan! suud beyaj bhi de lain ge
Haan! aur khiraj bhi de lain ge
Aassan bane dushwar bane
Per koi to deewanhaar bane
Tum kaun tumhara naam he kya
Kuch hum se tum ko kaam he kya
Kyun is majme main aayi ho
Kuch maangti ho kuch laai ho
Ye kaarobaar ki batain hain
Ye naqd udhar ki batain hain
Hum bethe hain kashkol liay
Sub umer ki naqdi khatam kiye
Gr sher ke rishte aayi ho
To samjho jald judai ho
Ab geet gaya sangeet gaya
Haan sher ka mausam beet gaya
Ab patjhar aai paat girain
Kuch subah girain kuch raat girain
Ye apne yaar purane hain
Ik umer se hum ko jane hain
In sub ke paas he maal buhut
Haan! Umer ke mah-o-saal bohat
In sub ko hum ne bulaya hai
Aur jholi ko phelaya hai
Tum jao in se baat karain
Hum tum se na mulaqat kerain
Kya paanch baraas?
Kya apni umer ke paanch baras?
Tum jaan ki theli laai ho ?
Kya pagal ho? Sodayi ho ?
Jub umar ka aakhir aata hai
Her din sadyian ban jata hai
Jeene ki hawis hi nirali hai
He kaun jo is se khali hai
Kya maut se pehle marna hai?
Tum ko to bohat kuch kerna hai ?
Phir tum ho hamari kaun bhala
Haan tum se hamara kia rishta
Kis sood biyaj ka laaluch he
Kisi aur khiraj ka laaluch he
Tum sohni ho man mohni ho
Tum jaaker poori umer jio
Ye paanch baras ye chaar baras
Chhin jayen to lagain hazaar baras
Sab dost gaye sab yaar gaye
The jitne saahukaar gaye
Bus aik ye naari bethi hai
Ye kaun he kya he kesi hai
Haan umer hamain darkaar bhi he
Haan jeene se hamain pyar bhi he
Jub maangain jeevan ki gharrian
Gustaakh akhiyan kithe ja larrian
Hum qarzz tumhain lauta den ge
Kuch aur bhi gharrian laa den ge
Jo saa-at o maah o saal nahi
Wo gharian jin ko zawaal nahi
Lo apne ji main utaar liya
Lo hum ne tum se udhaar liya..
Ibn-e-Insha, Video Shayari
August 23rd, 2015