Hazar gham jinhe gheren sharab kyun na piyen..

Hazar gham jinhe ghe..

Hazar gham jinhe gheren sharab kyun na piyen,
Bata ae saaqi woh khana-kharab kyun na piyen,

Ujaarr kar mujhe likha hai us ne mat peena,
Likha hai maine bhi us ko jawab kyun na piyen,

Unhen nahin hai koi haq ke gham ko bhool saken,
Ho jin ke dil main gham-o-izterab kyun na piyen,

Hisab kis ko hai dena ke koi apna nahin,
To phir yeh bin tere be-hisaab kyun na piyen,

Kisi ko khoon hai pasand aur kisi ko pani hai,
Hamara to hai yehi intekhab kyun na piyen,

Bhagaa bhagaa ke teri yaad ke bayabaan main,
Thakaa chuka hai humen bhi saraab kyun na piyen,

Hamare haal se kis ko gharaz hai duniya main,
Hazar baar piyen ge janab kyun na piyen,

Suna hai jaam hai nashad un ki ankhon main,
To aaj un ka hatta kar naqaab kyun na piyen..


send poetry

Imran Nashad, Video Shayari
August 27th, 2017

Comment here

Your Comment: