Maqrooz Ke Bigrray Huye Halaaat Ki Maanind

Maqrooz Ke Bigrray H..

Maqrooz Ke Bigray Huye Halaat Ki Maanind
Majboor Ke Honton Pe Sawaalaat Ki Maanind

Dil Ka Teri Chaahat Mein Ajab Haal Hua Hai
Sailaab Se Barbaad Makaanaat Ki Maanind

Mein Un Mein Bhatkay Howay Jugnu Ki Tarah Hun
Usss Shakhs Ki Aankhain Hain Kisi Raat Ki Maanind

Dil Roz Sajaata Hun Mein Dulhan Ki Tarah
Gham Roz Chalay Aatay Hain Baaraat Ki Maanind

Ab Ye Bhi Nahi Yaad Ke Kya Naam Tha Os Ka
Jis Shakhs Ko Maanga Tha Manaajaat Ki Maanind

Kis Darja Muqaddas Hai Tere Qurb Ki Khwaahish
Maasoom Se Bachay Ke Khayaalaat Ki Maanind

Uss Shakhs Se Mera Milna Mumkin Hi Nahi
Mein Pyaas Ka Sehra Hun Wo Barsaat Ki Maanind

Samjhao Mohsin Us Ko Ke Ab Reham Kare
Dukh Baant’ta Phirta Hai Woh Soghaat Ki Maanind


send poetry

Mohsin Naqvi, Video Shayari
January 17th, 2013

One comment

  1. Ye ghazal,
    Maqroz k bigre huwe halat ki manind,
    Mohsin naqvi ki nahin qateel shifai ki hai.
    Is ka aakhri shair,
    Samjhao qateel us ko k kuch rehem kare ab,
    gham bant’ta phirta hai wo soghat ki manind.

Comment here

Your Comment: