Main laakh keh doon ke aakaash hoon zameen hoon main..

Main laakh keh doon ..

Main laakh keh doon ke aakaash hoon zameen hoon main,
Magar ussay to khabar hai ke kuch nahin hoon main,

Ajeeb log hain meri talaash mei mujh ko,
Wahan pe dhoond rahe hain jahaan nahin hoon main,

Main aayinon se to maayuus laut aaya tha,
Magar kissi ne bataaya bohat haseen hoon main,

Woh zaray zaray mei maujood hai magar main bhi,
Kahin kahin hoon kahan hoon kahin nahin hoon main,

Woh ik kitaab jo mansuub tere naam se hai,
Ussi kitaab ke andar kahin kahin hoon main,

Sitaaro aao meri raah mei bikhar jaao,
Yeh mera hukm hai halaan-ke kuch nahin hoon main,

Yahin Hussain bhi guzre yahin yazeed bhi tha,
Hazaar rang mei duubi hui zameen hoon main,

Yeh buurrhi qabren tumhe kuch nahin bataayengi,
Mujhe talaash karo dosto yahin hoon main..


send poetry

Rahat Indori
June 26th, 2015

Comment here

Your Comment: