Rahat Indori

Ranjish.com has lots of Urdu Rahat Indori Poetry. Feel free to add your own Rahat Indori Shayari here.

Rahat Indori Collection

Rahat Indori
1950-

Rahat Indori is an Urdu language poet and bollywood lyricist. He is well known for his boldness and the style he adopts at his Mushairas.
Rahat Indore used to work at Indore University as a pedagogist. We have collected a huge amount of Rahat indori poetry and will be uploading them all on Ranjish.com .



Raaz jo kuch hon, isharon main bata bhi dena..

Rahat Indori

Raaz jo kuch hon, isharon main bata bhi dena,
Hath jab us se milana to dabbaa bhi dena..



Teri har baat mohabbat main gawara kar ke..

Rahat Indori

Teri har baat mohabbat main gawara kar ke,
Dil ke bazar main bethe hain khasara kar ke,

Aate jaate hain kayi rang mere chehre par,
Log lete hain maza zikr tumhara kar ke,

Ek chingari nazar ayi thi basti main usse,
Woh alag hatt geya andhi ko ishara kar ke,

Asmaanon ki taraf phenk diya hai main ne,
Chand matti ke charaghon ko sitara kar ke,

Main woh daryaa hoon ke har boond bhanwar hai jis ki,
Tum ne acha hi kiya mujh se kinara kar ke,

Muntazir hoon ke sitaron ki zara ankh lage,
Chaand ko chhat pe bula loon ga ishara kar ke..



Hamare paaon ka kanta humeen se nikle ga..

Rahat Indori

Na humsafar na kisi humnasheen se nikle ga,
Hamare paaon ka kanta humeen se nikle ga,

Main janta tha ke zehreela saanp ban kar,
Tera khuloos meri aasteen se nikle ga,

Isi gali main woh bhooka faqeer rehta tha,
Talash keejiye khazana yahin se nikle ga,

Buzurg kehte thay ik waqt aye ga jis din,
Jahan pe doobe ga suraj wahin se nikle ga,

Guzishta saal ke zakhmon haray-bharay rehna,
Juloos ab ke baras bhi yahin se nikle ga..



Bulati hai magar jaane ka nayin..

Rahat Indori

Bulati hai magar jaane ka nayin,
Yeh duniya hai idhar jaane ka nayin,

Mere bete kisi se ishq kar,
Magar hadh se guzar jaane ka nayin,

Kushada-zarf hona chahiye hai,
Chalak jaane ka, bhar jaane ka nayin,

Sitaare noch kar le jaon ga,
Main khaali hath ghar jaane ka nayin,

Woh gardan naapta hai, naap le,
Magar zalim se ddar jaane ka nayin..



Iraada tha ke main kuch dair tufaan ka maza leta..

Rahat Indori

iraada tha ke kuch dair
Iraada tha ke main kuch dair tufaan ka maza leta,
Magar bechaare darya ko utar jaane ki jaldi thi..



Main laakh keh doon ke aakaash hoon zameen hoon main..

Rahat Indori

Main laakh keh doon ke aakaash hoon zameen hoon main,
Magar ussay to khabar hai ke kuch nahin hoon main,

Ajeeb log hain meri talaash mei mujh ko,
Wahan pe dhoond rahe hain jahaan nahin hoon main,

Main aayinon se to maayuus laut aaya tha,
Magar kissi ne bataaya bohat haseen hoon main,

Woh zaray zaray mei maujood hai magar main bhi,
Kahin kahin hoon kahan hoon kahin nahin hoon main,

Woh ik kitaab jo mansuub tere naam se hai,
Ussi kitaab ke andar kahin kahin hoon main,

Sitaaro aao meri raah mei bikhar jaao,
Yeh mera hukm hai halaan-ke kuch nahin hoon main,

Yahin Hussain bhi guzre yahin yazeed bhi tha,
Hazaar rang mei duubi hui zameen hoon main,

Yeh buurrhi qabren tumhe kuch nahin bataayengi,
Mujhe talaash karo dosto yahin hoon main..



Jab kabhi phoolon ne khushbuu ki tijaarat ki hai..

Rahat Indori

Jab kabhi phoolon ne khushbuu ki tijaarat ki hai,
Pate pate ne havaaon se shikayat ki hai,

Yuun laga jaise koi itr fazaa mei ghul jaye,
Jab kisi bache ne quraan ki tilaawat ki hai,

Jaye-namaazon ki tarah noor mein ujlaayi sehar,
Raat bhar jaise farishton ne ibaadat ki hai,

Sar uthaaye theen bohat surkh havaa mei phir bhi,
Hum ne palkon ke charaaghon ki hifaazat ki hai,

Mujhe tuufaan-e-havaadis se daraane walo,
Haadson ne to mere haath pe baiyt ki hai,

Aaj ik daana-e-gandum ke bhi haqdaar nahin,
Hum ne sadiyon inhiin khaiton pe hukuumat ki hai,

Yeh zaruuri tha ke hum dekhte qilon ke jalaal,
Umr bhar hum ne mazaaron ki ziyaarat ki hai..



Jaa ke yeh keh de koi sholon se chingaari se..

Rahat Indori

Jaa ke yeh keh de koi sholon se chingaari se,
Phool is baar khile hain barri tayaari se,

Apni har saans ko nilaam kiya hai maine,
Log aasaan huye hain barri dushvaari se,

Zehn mein jab bhi tere khhat ki ibaarat chamkii,
Ek khushbuu si nikalne lagi almaari se,

Shehzaade se mulaqaat to na-mummkin hai,
Chaliye mil aatey hain chal kr kisi darbaari se,

Badshaahon se bhi phenke huye sikke na liye,
Hum ne khairaaat bhi maangi hai to khudaari se..



Isse samaan-e-safar jaan yeh jugnuu rakh le..

Rahat Indori

Isse samaan-e-safar jaan yeh jugnuu rakh le,
Raah mein teergi ho gi mere aansuu rakh le,

Tuu jo chahe to tera jhoot bhi bik sakta hai,
Shart itni hai ke sone ki taraazuu rakh le,

Woh koi jism nahin hai ke usse chhuu bhi saken,
Haan agar naam hi rakhna hai to khushbuu rakh le,

Tujh ko an-dekhii bulandi mei safar karna hai,
Ehtiyatan meri himmat mere baazuu rakh le,

Meri khawish hai ke aangan mein na deewaar uthe,
Mere bhaii mere hisse ki zameen tuu rakh le..



Haath khaali hain tere sheher se jaate jaate..

Rahat Indori

Haath khaali hain tere sheher se jaate jaate,
Jaan hoti to meri jaan luttaate jaate,

Ab to har haath ka pathar humen pohanchta hai,
Umr guzri hai tere shehehr mei aatey jaate,

Ab ke mayuus hua yaaron ko rukhsat kar ke,
Jaa rahe they to koi zakham lagaate jaate,

Reengne ki bhi ijaazat nahin hum ko warna,
Hum jidhar jaate naye phuul khilaate jaate,

Main to jalte huye sehraaon ka ik pathar tha,
Tum to dariyaa they meri pyaas bujhaate jaate,

Mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shayed,
Log hanste hain mujhe dekh ke aatey jaate,

Hum se pehle bhi musaafir kayii guzre hon ge,
Kam se kam raah ke pathar to hattaate jaate..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Rahat Indori.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari