Kahan kis ki himayat main mara jaaon ga..

Kahan kis ki himayat..

Kahan kis ki himayat main mara jaaon ga,
Main kam-shanaas muravvat main mara jaon ga,

Main mara jaon ga pehle kisi fasaane main,
Phir us ke baad haqeeqat main mara jaon ga,

Mujhe bataya hua hai meri chatti-hiss ne,
Main apne ehd-e-khilafat main mara jaon ga,

Mera yeh khoon mere dushmanon ke sar hoga,
Main doston ki hirasat main mara jaon ga,

Yahan kamaan uthana meri zaroorat hai,
Wagarna main bhi sharafat main mara jaon ga,

Main chup raha to mujhe maar de ga mera zameer,
Gawahi di to adaalat main mara jaon ga,

Faragh mere liye maut ki alamat hai,
Main apni pehli faraghat main mara jaon ga,

Nahin maroon ga kisi jung main yeh soch liya,
Main ab ki baar mohabbat main mara jaon ga..


send poetry

Rana Saeed Doshi, Video Shayari
March 22nd, 2018

Comment here

Your Comment: