Manzilen lakh kathan ayen, guzar jaon ga..

Manzilen lakh kathan..

Manzilen lakh kathan ayen, guzar jaon ga,
Hausla haar ke betha to mar jaon ga,

Chal rahe thay jo mere sath kahan hain woh log,
Jo yeh kehte thay ke raste main bikhar jaon ga,

Darbadar hone se pehle kabhi socha bhi na tha,
Ghar mujhe raas na aya to kidhar jaon ga,

Yaad rakhe mujhe duniya teri tasveer ke sath,
Rung aese teri tasveer main bhar jaon ga,

Lakh roken yeh andhere mera rasta lekin,
Main jidhar roshni jaye gi, udhar jaon ga,

Raas ayi na mohabbat mujhe warna saqi,
Maine socha tha ke har dil main utar jaon ga..


send poetry

Saqi Amrohvi, Video Shayari
January 13th, 2018

Comment here

Your Comment: