Aisa kertay hein

Aisa kertay hein..

Aaj aisa kertay hein
Be sadda lafzon main
Wajh-e-zindagi keh ke
Wasl ki zaroorat par
Phir se zoor detay hein
Aaj aisa kertay hein
Zikr wohi kertay hein
Naam aur detay hein
Zabt ke kinaaron se
Dard aan lipta hai
Toot-tay kinaaray ab
Dard aur detay hein
Aaj aisa kertay hein
Dard se ulajhtay hein
Zabt choor detay hein
Taar Taar daaman ko
Khaar khaar raahon main
Ranjishein bhula ke hum
Aa ke joor detay hein
Aaj aisa kertay hein
Khud nahin palat-tay hein
Raah moor detay hein
Sabz sabz mausam main
Laal laal aankhon ke
Khwaab ki ragoon se hum
Khoon nichor detay hein
Aaj aisa kertay hein
Ye bhi kar guzartay hein
Khwaab toor detay hein
Aa keh ab duaaon ko
Maatami ridaaon main
Phir se kar ke alwidaa
Mauqa aur detay hein
Aaj aisa kertay hein
Darya main utartay hein
Rabb pe chor detay hein…!!


send poetry

Ghazal Shayari
February 21st, 2011

One comment

  1. rochak charcha,bhadas se meri prtsutai lene ke liye aabhar vaise ye prtsutai SHIKHA KAUSHIK JI ki hai jo unke blog neta ji kya kahte hain par bhi hai.anya links bahut shandar hain .badhai ek aur safal charcha ke liye.

Comment here

Your Comment:

Next: »