Advertisements
Chalo Ik Baar Chaltay Hain
Kabhi bay simt ruston per chalo ik bar chaltay hain
Dikhai day koi manzil chalo ik bar chaltay hain
Yahan thum saa gaya hay waqt howa kya hay khuda janay
Jahan gardish main ho dunya chalo ik bar chaltay hain
Yohien daamun bechaaye intezaar-e-ghum main kya rehna
Kehien bay chain lumhon main chalo ik bar chaltay hain
Budal kar daikh laitay hein hum apni zeest ka mausum
Jahan mausum budaltay hon chalo ik bar chaltay hain
Sunna hay kooch karnay say budal jaati hein taqdeerein
Yaqeen rukhtay howay dil main chalo ik bar chaltay hain
Saja kar rakh leye hein dard jo hum nay naseebon main
Kisi goher-e-shifa k paas chalo ik bar chaltay hain
Saza ka ore jaza ka moamla chhordo ab jaanay dau
Jahan na khatm hon sudyaan chalo ik bar chaltay hain
Tumhain koe ozer na ho tau, ye shaukat ko bata daina
Wafa ka imtehaan hay ye chalo ik bar chaltay hain
by Shaukat Ali Khan
More Urdu Poetry:
- Chalo door kahin chalte hain Chalo door Kahin chaltay hain Kahin peron kay saye Main...
- Ek Aur Duniya Chalo Ek Aur Duniya Me… Tumaray Saath Chaltay Hain…. Jahan...
- Aao Chalo Mere Saath Tum Aao Chale?n Tanhaio?n k Safar Py Hum Jahan Manzile?n Hyn...
- Chalo kuch der hanstey hain Chalo Kuch Dair Hastay Hain … Muhabbat par Inayat par...
- Chalo Es Velantive Pr Kuch Aisa Karty Hain, Chalo Es Velantive Pr Kuch Aisa Karty Hain, Pichly Bars...
- Chalo abb lot aao suno tum ne kaha tha na!! mjhy jazb-e-muhbt say kabhi...
- Chalo Ab Laut Bhi Aao Kisi din loat na paaon Tumhain main yaad gar aaon...
- Chalo aao Mohabbat ki Nae Bunyaad Rakhty hain Chalo aao Mohabbat ki Nae Bunyaad Rakhty hain Khud Paaband...
- Chalo aao kainaat bant’te hain Chalo aao kainaat bant’te hain.. Tum mere baqi sab tumahra…!...
- Chalo apni subha ko jaga kay aatay hain andheri raat thikanay laga kay aatay hain chalo keh apni...
- Khod bakhod chor gae hain to chalo theek hai Khod bakhod chor gae hain to chalo theek hai, Itne...
- Anjaam Bohat Hain Karnay ko meray zimay abhi kaam bohat hain Sach ye...
- Tumhari Raah Hamari Raah Alag kab thhe ik manzil saiy tumhari rah humari rah...
- Chalo Ye Farz Kerty Hy Chalo Ye Farz Kerty Hy k Tum Mashriq Main Maghrib...
- Kis kadar akailay hain Zindagi ke raahon main runge-o-gham k mailay hain Chaar soo...
Advertisement


















