gazal by Ahmad faraz

gazal by Ahmad faraz..

suna hai log usay aanh bhar kay daikhtay hai
so uskay shahar main kuch din thehar kay daikhtay hain

suna hai rabt hai usko kharab haloon say
so apnay ap ko barbad kar kay daikhtay hain

suna hai dard ki gahak hai chashmay naz us ki
so hum bhi uski gali say guzar ke daikhtay hain

suna hai us ko bhi hai shar-o-shairy say shagaf
so hum bhi mojzay apnay hunar ke daikhtay hain

suna hai bolay to batoon say phool jhartay hain
ye bat hai to chalo baat kar ke daikhtay hain

suna hai raat usay chand takta rehta hai
sitare bahme falaq se utar ke daikhtay hain

suna hai din ko usay titliyan satate hain
suna hai raat ko jugnu taher kay daikhtay hain.

suna hai us kay badan ki tarash aise hai
kay phool apni qabahain qatar kay daikhtay hain

suna hai us kay shbistan say mutassil hai bahisht
makeen udhar kay bhi jalway idhar kay daikhtay hain.

suna hai rukay to gardishain us ka tawaf karti hain
chalay to us ko zamanay tehar kay daikhtay hain

kisay naseeb kay bay perhan usay daikhay
kabhi kabhi daro dewaar ghar kay daikhtay hain

kahanian hi sahi sab mubalgay hi sahi
agar woh khuwab hai tabeer kar ke daikhtay hain

ab us kay shaher main tehrain ke kooj kar jain
faraz ao sitare safar kay dhaiktay hain


send poetry

Ghazal Shayari
July 18th, 2009

4 comment

  1. Tere naam ka diwana ,tere ghar ko dhundt,.
    Jis nazar pe dil fida hai us nazar ko dhundta hai

  2. Tere naam ka diwana ,tere ghar ko dhundta hai,.
    Jis nazar pe dil fida hai us nazar ko dhundta hai

  3. plz ye ghazal chaien plz

    ham ne zindgy se kuch nahe manga faraz
    bs ak kafan mange te o b zindgy da kar

  4. Khoob

Comment here

Your Comment: