Har taraf
Har taraf..
Subh se shaam tak bojh dhotaa hua
Apni hi laash ka khud mazaar aadmi
Har taraf bhaagte dauRte raaste
Har taraf aadmi ka shikaar aadmi
Roz jeetaa hua roz martaa hua
Har naye din, naya intezaar aadmi
Zindagi ka muQaddar safar dar safar
Aakhri saans tak be-qaraar aadmi..!!!!
Ghazal Shayari
June 4th, 2011
Comment here
Next: Toota hai jab se »