Izhaar-e-mohabbat

Izhaar-e-mohabbat..

tujhay izhaar-e-mohabbat say agar nafrat thi
tu nay hoontoon ko laraznay say tou roka hota

bay niyazi say magar kaampti aawaz keh saath
tu nay ghabra keh maira naam na poocha hota

tairay bas main thi agar mashal-e-jazbaat ki lau
tairay rukhsaar main gulzaar na bharka hota

yuun tou mujh say hoween bas aab-o-hawa ki baatain
apnay tootay howay fiqroon ko tou parkha hota

yunhi bay wajha thithaknay ki zaroorat kiya thi
dam-e-rukhsat agar kuch yaad na aaya hota

apnay badlay mairi tasweer nazar aa jati
tu nay uss waqt agar aayina daikha hota

hausla tujh main na tha mujh say juda honay ka
warna kaajal tairi aankhoon main na phaila hota


send poetry

Ghazal Shayari
May 6th, 2011

Comment here

Your Comment: