Kitna badal geya hai

Kitna badal geya hai..

aaNkhoN ka raNg, baat ka lehja badal gayaa
vo shaKhs ek shaam meiN kitnaa badal gayaa

kuch din to mera aks raha aaii?ney pe naqsh
phir yuuN huaa, ke khud mera chehraa badal gayaa

koyii bhi chiiz apni jagah par nahiN rahii
jaate hii ek shaKhs ke, kyaa kyaa badal gayaa

ik sarKhushi ki mauj ne kaisa kiyaa kamaal
wo bay-nayaaz saaraa ka saaraa badal gayaa

uTth kar chalaa gayaa koii waqfe ke darmiyaaN
pardaa uThaa to saara tamashaa badal gayaa

hairat se saare lafz use dekhte rahey
baatoN meN apni baat ko kaisaa badal gayaa

kehne ko ek sehn meN diivaar hii bani
ghar ki fazaa, makaan ka naqsha badal gayaa

shaayad wafa kay khel se uktaa gayaa tha vo
manzil kay paas aake jo rasta badal gayaa

qaayem kisii bhi haal pay duniya nahiN rahi
ta?biir kho gayii kabhi sapnaa badal gayaa


send poetry

Ghazal Shayari
November 25th, 2010

Comment here

Your Comment: