Kyun Satatay Ho..
Meray Muskan Ke Chaukhat Per Tum Aa Kar Laut Jaatay Ho
Qadam Laatay Nehi Aagaiy Kaho Ab Kyun Satatay Ho
Tumhari Chaap-e-paa Sunn Kar Hum Othh Kar Baith Jaatay Hain
Batao Neind Sai Hum Ko Tum Aisay Kyun Jagatay Ho
Abhi Tau Hum Nai Seekha Hai Furqat Main Saber Karna
Humaray Saber Ke Manzil Ko Itna Kyun Hilatay Ho
Tumhain Hum Sai Mohabat Hai Gila Hai Yaa Shikayat Hai
Ye Khud He Faisla Karlo Humain Kyun Aazmatay Ho
Bardi Mushkil Sai Rakha Hai Qadam Hum Nay Zamanay Main
Meray Mohsin Meri Koshish Ko Mushkil Kyun Banatay Ho
Sada Hum Nay Tumhari Zeest Mai Dhoondi Jaga Apni
Ab Apnay Dil K Derwazay Ko Khula Kyun Dikhatay Ho
Tumhi Nai Taud Dalaiy Thhay Subhi Rishtay Mohabat K
Na Mehrum Ban K Jeenay Ka Saleeka Kyun Sikhatay Ho
Shaukat Qaid Karlo Ab Khod Ko Tum Faseelon Main
Bheri Duniya Ko Apna Tum Tamasha Kyun Dikhatay Ho
By:- Shaukat Ali Khan
More Urdu Poetry:
- Hay Ajeeb Dil Ki Haalat Hay ajeeb dil ke halat her shay hoe paraaie Meray...
- Jo na hona tha hua kyun Jo na hona tha hua kyun, main ishi soch mai...
- Muhobbat Ye Banai Kyun Hai Aye Khuda Tune Muhobbat Ye Banai Kyun Hai Gar Banaye...
- Usko Mein Yaad Na Aaon Ab ore kis sobha saiy main aas lagaon Jab shaam...
- Zindagi Itni MUkhtasir kyun hai Zindagi Itni MUkhtasir kyun hai Mukhtasir hai to dar badar...
- j0 nahi aata uska intezar kyun j0 nahi aata uska intezar kyun h0ta hai.. Kisi k...
- Mohabat ka irada Mohabat ka irada badal jana bhi mushkil hai tmhen pana...
- TUM KHAFA KYUN HO?? ?TUM KHAFA KYUN HO?? Tumhen Mujse gila kya hy.?? Achanak...
- Jo chala gaya woh chala gaya.. Jo apna daamun sumait kar meri zindagi say chala gaya...
- Mera Pyar Dekhna Ab kar k kisi ore ka intezar daikhna Apnay humaray...
- Wafa Karlo Ajab Ye Marhala Aya Hai Hijr-o-Qarb Yaksaan Hain.. Mujhe Ab...
- Kuch aur seenay ko laal kar Main bikhra howa hon jaga jaga mujh sai koe na...
- Zindagi k is lamhay zindagi k is lamhay main bethi sooch rahe hoon ke...
- mujhe kyun tamasha bana dia Kabhi Ghum Ki Aag Main Jal Uthe Kabhi Dil ka...
- Mohabat ki Haqeeqat Mohabat sirf visal-e-sanam kab hai is k hazaroon roop rang...
Advertisement















siddharth
June 15th, 2012 at 9:26 pm
shaukat bot shayri padhi h tumhari…..hr baar vo he mja…kamal karte ho yr….