Loh-e-dil

Loh-e-dil..

ab muhabbat ki wakalat nhi ki ja sakti
shehr bhr se to adawat nhi ki ja sakti

mera chehra meri ankhien hain salamat ab bhi
kon kehta hai wazahat nhi ki ja sakti

baat ye hai k koi toot k chahey to sahi
hr kisi se to muhabbat nhi ki ja sakti

aankh kehti hai kahin or chaley jayen hm
dil ye kehta hai k hijrat nhi ki ja sakti

loh-e-dil pr yehi tehreer likhi hai jana
ishq walon ko naseehat nhi ki ja sakti


send poetry

Ghazal Shayari
August 19th, 2011

One comment

  1. Could you please let me know ‘who’ is the Poet of the above poem? thank you.

    bachpan k dukh

    bachpan k dukh kitne ache hote thay
    tab to srif khilone tota karte thay
    woh khushyn bhi jane kesi khushyn then
    titli k par noch k uchla karte thay
    ?bachpan k dukh itne ache hote thay
    paon mar k khud barish k pani m
    upni naao aap diboya karte thay
    chote thay to makro fareeb bhi chote thay
    dana dal k chiryan pakra karte
    ab to anso bhi ruswa kar jate hn
    bachpan m to ji bhar k roya karte thay
    khushbo k urte hi q murjhaya phool
    ktne bhole pan pocha karte thay
    bachpan k dukh kitne achay hote thay
    tab to srif khilone tota karte thay

Comment here

Your Comment:

Next: »