Mohabbat rog hai dil ka

Mohabbat rog hai dil..

Bhanwar main her ghari rehna mohobat rog hay dil ka
Tumhain thha bas yehi kehna mohobat rog hay dil ka

Zamanay bhar main bikhray hain mazar-e-ishq k manzar
Unhi kutbon ko pardh laina mohobat rog hay dil ka

Tumhara saath chaha tau milay aanso umer bhar k
Yunhe aankhon ka num rehna mohobat rog hay dil ka

Sobha ke arzoo karna bina sooruj ke kirnon k
Phir soochon main gumm rehna mohobat rog hay dil ka

Kabhi tootain tumhari aas-o-umeedon k bandhan jab
Mujhay tum khud he likh daina mohobat rog hay dil ka

Nehi rakhna qadam apna kabhi hasar-e-ulfut main
Meray lafzon ko pardh laina mohobat rog hay dil ka

Tumhari jaan ka sadqa lahoo say main chukaaon tau
Subhe say tum yehi kehna mohobat rog hay dil ka

Shaukat rukk nehi sakta bahaao chaltay pani ka
Hazaron ghum parain sehna mohobat rog hay dil ka

by Shaukat Ali Khan


send poetry

Ghazal Shayari, Sad Shayari
January 9th, 2012

3 comment

  1. Very Niceeeeeeeeee Yaar

  2. Talli hai yeh zameen, talli hai aasma
    Sab talli hai yahaan
    Ya phir saara jahaan, vaise ka vaisa hai
    Hum talli hai yahaan

    Mujhse baahein na chhuda (ek main)
    Kahin kho na ja (ek tu)
    Jo bhi hoga I am with you (I’m with you)
    Yun na gabhra (ek main)
    Thoda muskra (ek tu)
    Jo bhi hoga I am with you

    Ek main hoon aur ekk tu
    I wanna be with you
    Tere peeche peeche main
    Mere aagey aagey tu
    Ek main hoon aur ekk tu
    Ek main hoon aur ekk tu
    I wanna be with you

    Kitne ki hai zameen, kitne ka aasmaan
    Bikte hai yeh kahaan
    Bhar lenge jebon mein
    Dukaane woh sabhi
    Chal chalte hai wahan

    Mauka aisa na gawa (ek main)
    Yunhi bewaja (ek tu)
    Jo bhi hoga I am with you (I’m with you)
    Yun na gabhra (ek main)
    Thoda muskra (ek tu)
    Jo bhi hoga I am with you

    Ek main hoon aur ekk tu
    I wanna be with you
    Tere peeche peeche main
    Mere aagey aagey tu
    Ek main hoon aur ekk tu
    Ek main hoon aur ekk tu
    I wanna be with you

    Boring boring zindagi ke
    Munh pe chidkenge paani
    Iss pal ke hum badshah hain
    Kare kyun na manmaani
    Gham ki baatein bhool ja
    Khushiyaan sajaa
    Jo bhi hoga I am with you (I am with you)
    Yun na ghabra
    Thoda muskura
    Jo bhi hoga I am with you

    Ek main hoon aur ekk tu
    I wanna be with you
    Tere peeche peeche main
    Mere aage aage tu
    Ek main hoon aur ekk tu, hey..
    I wanna be with you

    Ek main aur ekk tu

  3. very nice poitry

Comment here

Your Comment: