Phir se mausam baharon ka aney ko hai

Phir se mausam bahar..

phir se mausam bahaaro.n kaa aane ko hai
phir se rangii.n zamaanaa badal jaayegaa
ab kii bazm-e-charaaGaa.N sajaa le.nge ham
ye bhii aramaa.N dil kaa nikal jaayegaa

aap kar de.n jo mujh pe nigaah-e-karam
merii ulfat kaa rah jaayegaa kuchh bharam
yuu.N fasaanaa to meraa rahegaa yahii.n
sirf unavaan us kaa badal jaayegaa

phiikii phiikii sii kyuu.N shaam-e-maiKhaanaa hai
lutf-e-saaqii bhii kam Khaalii paimaanaa hai
apanii nazaro.n se hii kuchh pilaa diijiye
rang mahafil kaa Khud hii badal jaayegaa

mere miTane kaa un ko zaraa Gam nahii.n
zulf bhii un kii ai dost bar_ham nahiN
apane hone naa hone se hotaa hai kyaa
kaam duniyaa kaa yuu.N hii to chal jaayegaa

aap ne dil jo ?Zahid? kaa to.Daa to kyaa
aap ne us kii duniyaa ko chho.Daa to kyaa
aap itane to aaKhir pareshaa.N na ho.n
vo sambhalate sambhalate sambhal jaayegaa


send poetry

Ghazal Shayari
April 24th, 2010

3 comment

  1. Kai badnamia?n hoti , kai ilzam sar jatey
    Magar ai kash ham dono?n hamee?n dono pe mar jatey
    Agar tum khab hotey to tumhe aankho?n mai rakkh letey
    Na goya neend se phir jagtey hatta k marr jatey
    Agar hum roshni hotey to phir ahsas ki lau se
    Zamee?n ko chhorh detey mill k dono?n chand par jatey
    Agar tum phool hotey to tumhari khushboo mai rehtey
    Samandar ki tarah hotey to ham tum mai bikhar jatey
    Hamarey khal-o-khadd kaise hain ye ab tak nahi dekha
    Agar tum aaina hotey to hamm kitney sanwar jatey
    Agar suraj hi hotey to phir apni dhoop ki surat
    Wajood-e-yaar ki dharti pe SHAHI hum bikhar jatey
    Poet:Yaseen Shahi
    Selected from ?Muhabbat ka naya mausam?

  2. Ghazal
    Kai badnamia’n hoti , kai ilzam sar jatey
    Magar ae kash ham dono’n hamee’n dono pe mar jatey

    Agar tum khab hotey to tumhe aankho’n mai rakkh letey
    Na goya neend se phir jagtey hatta k marr jatey

    Agar hum roshni hotey to phir ahsas ki lau se
    Zamee’n ko chhorh detey mill k dono’n chand par jatey

    Agar tum phool hotey to tumhari khushboo mein rehtey
    Samandar ki tarah hotey to ham tum mai bikhar jatey

    Hamarey khal-o-khadd kaise hain ye ab tak nahi dekha
    Agar tum aaina hotey to hamm kitney sanwar jatey

    Agar sooraj hi hotey to phir apni dhoop ki surat
    Wajood-e-yaar ki dharti pe SHAHI hum bikhar jatey.
    Poet:Yaseen Shahi

  3. Samandar kya karen ge qatra-e-shabnam chura lae’n
    Agar mumkin ho zakhm-e-hijr ka marham chura lae’n

    Baharo’n k chaley janey khiza’n aney ka dar na ho
    Koi aisa muhabbat ka naya mosam chura lae’n

    Khabar ho neend ki paryo’n na hi khwabon ki devi ko
    Tumhe’n palko’n ki doli mein bitha kar hum chura lae’n

    Hame’n jazbat k sehra ko bhi sairab karna hai
    kisi tootey huey insa’n ki chashm-e-nam chura lae’n

    Tumhara sath hai to aik bus apna jeewan kyun
    Jaha’n walo’n ki sari umr aao hum chura lae’n

    Sada ki muskurahat un k honto’n pe sajaney ko
    Chalo Shahi zara chupkey se un k ghum chura lae’n.
    Poet:Yaseen Shahi

Comment here

Your Comment: