Soney hi kahan dega yeh mehtaab adhoora

Soney hi kahan dega ..

Soney hi kahan dega yeh mehtaab adhoora,
Rehne de meri aankhon mein ik khawb adhoora,

Uss simt hi chalte hain liye naao ko apni,
Reh jaaye na paani mein yeh gardaab adhoora,

Toota to usey gaud liya lehron ne barh kar,
Phir behta raha phool sar-e-aaab adhoora,

Shaayer ka gumaa’n dekha jahan koi bhi dekha,
Ik shakhss ke bikhraa hua betaab adhoora,

Ab un se kya rakhain hum umeed-e-takalum,
Laate hain baja’aa bazm mein adaab adhoora,

Rakhshanda, shab-o-roz likha safaah, dil par,
Reh jaye na aakhir mein wohi baab adhoora..

(mehtaab;moon)(naao;water flow)(sar-e-aaab;in water)(baab;chapter)

Rakhshanda Naveed


send poetry

Ghazal Shayari
September 18th, 2012

2 comment

  1. aatang

  2. hi

Comment here

Your Comment: