Wo kuchh kahen na kahen aankh muskura daigi

Wo kuchh kahen na ka..

terey badan se chura kar mehek hawa daigee
zakham ko rang hara, shokhi e saba daigee

mujhe yaqee’n hai k jab mera tazkara hoga
wo kuch kahe na kahe aankh muskura daigee

ye merey shair teri yaad aashna hongey
meri ghazal bhi terey dard ka pata daigee

mujhey khabar thii kaha’n uski sogawaar aankhain
bujhe se dil mai mohabbat ko phir jaga daigee

terey khayal ki khushboo aur uski pyari mehak
mujhe ye darr hai k shayar mujhe bana daigee

chhupana pyar teri jaa’n ko, jaan kya aaye
zuban o dil na kahey, aankh hii bata daigee


send poetry

Ghazal Shayari
December 4th, 2009

One comment

  1. Meri chahat ka safar is liye dushwar raha
    Main mohabat may wafaon ka talabgar raha

    Ho gaye sare gilay door juda hotay hi
    Ghamzada wo hai na main uska talabgar raha

    In hawaon may ab dhundta phirta hun usay
    Jin hawaon se kabhi barsar-e-pekaar raha,

    Na muradi k siwa hijr k aaram bhi thay
    Phir zamane ka zamana hi sitam gaar raha,

    Jasb-e-shoq ne us waqt bhi chaha tujhko
    Jab wo shokhi na wo gaisu na wo rukhsar raha,

    Aik hasrat si mere dil mey kahin aur bhi thi
    Har badalti hui rut mey gham-e-dildar raha

    Is qadar hamsafri se tha harasan wo shakhs
    Saath hi chor gaya dasht k us paar raha?

Comment here

Your Comment: