Woh apne naam ki duyain mujhko deta tha
Woh apne naam ki duy..
Bohat khamoush reh kar wo sadaaen mujh ko deta tha
bade bhar-pour jazboun ki qabaaen mujh ko deta tha
kabhi jo dard ki aatish mujhay sulganay lagti thi
wo apne saans ki mehki hawaaen mujh ko deta tha
wo uski chahatain bhe sari duniya se anokhi then
riyazat khud wo karta tha jazaaen mujh ko deta tha
meray ehsaas k seharaoun main jo dhoop barhti thi
wo mousam ka khuda ban kar ghataaen mujh ko deta tha
usay main ajnabi samjha magar har mour par Ramish
wo apne naam ki sari duaaen mujh ko deta tha
Ghazal Shayari
June 10th, 2011