Us ne sukuut-e-shab main bhi apna qayaam rakh diya..

Us ne sukuut-e-shab ..

aur faraz chahiyen kitni mohabten tujhe

Us ne sukuut-e-shab main bhi apna payaam rakh diya,
Hijr ki raat baam pr mah-e-tamaam rakh diya,

Aamad-e-dost ki naveed ku-e-wafaa main aam thi,
Main ne bhi ik charaagh sa dil sar-e-shaam rakh diya,

Shiddat-e-tishnagi main bhi ghairat-e-mai-kashi rahi,
Us ne jo phair li nazar main bhi jaam rakh diya,

Us ne nazar nazar main hi aise bhale sukhan kahe,
Main ne to us ke paaon main sara kalaam rakh diya,

Dekho yeh mere khawab they dekho yeh mere zakham hain,
Main ne to sab hisaab-e-jan bar-sar-e-aam rakh diya,

Ab ke bahaar ne bhi keen aesi sharaarten ke bas,
Kabk-e-dari ki chaal main tera khiraaam rakh diya,

Jo bhi mila usi ka dil halqa ba-gosh-e-yaar tha,
Us ne to saare sheher ko kar ke ghulaam rakh diya,

Aur faraz chahiyen kitni mohabten tujhe,
Maaon ne tere naam pr bachon ka naam rakh diya..


send poetry

Ahmad Faraz, Designed Shayari, Ghazal Shayari
October 21st, 2016

2 comment

  1. abb Woh Akram bhii hai zard saa
    likh kar apna qalam
    faraz humko tumharii shayrii ne
    kar k gulaam rakh diya

    love this poet nd ur poetry

  2. shayari tou dil pe lgi ko aur bdati hai dosto, Kaam Aise kro k bewafa ka naamo nishan mit jaye

Comment here

Your Comment: